Tumgik
rishikesh007 · 3 years
Text
Woh
Nikla ghar se do kadam hi chala tha Saamne me ek purana yaar mila tha Waah bhai kaisa h tu...acha chhod kaisi h woh Sawaal usne turant ye hi pucha tha Mai to thik hi tha Lekin uske sawaal ka jawaab poora ye naa tha Sach baat to ye hai kaisi hai woh ye mujhe khud pata naa tha Kaisi hai woh... Aisa lagta maano kuch dino pehle ki hi baat hai Nayi jagah aur naye log aakhon ke aas paas hai Usi naye chahro me ek chehra masoom sa Aankhein dekh kr lga mujhe ajeeb sukoon sa Thodi koshish ki maine par..puch na saka mai uss din Naam kya hai uska...aakhir kaun hai woh Kaun hai woh... Kaisi hai woh... Ek do din gujre...kuch bol na saka mai Bebas lachaar sa chhup kr use dekhta raha mai Kismat thi meharbaan ek din Pucha usne mera naam jis din Baat kar pata chala uss din Badi khwahishen hai uske aur Bahut masoom hai woh... E shararati dil Bata mujhe Kaisi hai woh.... Zindagi me ek ajeeb sa nayapan lagne laga tha Usse baat kar acha lagne laga tha Chand lamhe hi gujre honge saath uske Par phir bhi ye ajnabi apna sa lagne laga tha Bina dekhe use abb ek ajeeb bechaini si hoti hai Raat to chhor abb to din bhi nahi gujarti hai Kisi se keh na paau aisi majboori ban gyi hai woh E shararati dil Bata mujhe Kaisi hai woh.... Pehli baar ho raha haal aisa Registaan me maano mrigtrishna jaisa Dil ke jo karib the unse dil ki ye taqleef batai Anjaane me shuruat galtiyon ki maine Khud se khud hi karai Apne to sabhi the par kisi ne Rukne Na bola mujhko wahin pe Sabka ek hi sawaal tha Badi khusnasib hai wo Kaun hai woh... Kaisi hai woh.... Dil aur dimaag me abb jang si hone lagi thi Phir se bechaini si hone lagi thi Keh du ya rehne du Ek ek pal ghante jaisi lagne lagi thi Doosri galti ki ghadi yahi thi Kyuki maine apne dil ki jo suni thi Soch liya tha maine abb Keh dunga usse sab Hass raha tha dimaag mujh par aise Keh raha ho jaise Jaane de usko..jo bhi hai woh Kaun hai woh... Kaisi hai woh... Aaj to keh hi doonga Dil pe bandhe dore ke dhaago ko khol hi doonga Yahi soch kar badi himmat kar Jab maine apna mukh khola Mushkil se chaar lafz nikle honge Uske baad alfazo par lag gya taala Haalat badi kharaab ho chali thi meri Jo bhi hua mujhe usme saari galtiyan thi teri Bayan naa kr paaya thik se Mai tha to tha sirf tmse Ajeeb lamha ban gya tha woh E bebas dil bta mujhe Kaun hai wo.... Kaisi hai wo.... Dimaag ka dil pe hasne ka waqt aa chala tha Anjane me hui galti jo bada chot de chala tha Unn kuch lamho ne mujhe Apne na hone ka ehsaas de chala tha Khwahishen meri chakna choor hone ko thi Pyaar meri nestanaboot hone ko thi Phir bhi dil hasta rahega Saare gam ko sehta rahega Teri taraf se na hi sahi par ye ishq Ektarfa to kehlata rahega Naa kam hoga ehsaas tere liye Aisa nasha hai woh Ae lachaar dil bta mujhe Kaun hai woh.... Kaisi hai woh..... Baato mulakato ka silsila tham sa gya h.... Didar kiye unka maano janamo sa ho gya h Yaadein hi bachi hai abb unki Warna ye dil v aage badh sa gya h.... Naa koi khabar naa koi thikana pta... Par itna to mai deta hoon bta... Jo v hai woh... Badi khubsurat hai woh... Jaisi v hai woh.... Mere dil ke karib hai woh....
3 notes · View notes