Tumgik
#Har har mein ghar ghar mein
mmwiddc · 1 month
Text
आगयीं !! Chai bangyi hai ruko main nikalkr lata hun
Mujhe tumhara shaher ek kahani sa lagta hai, Ek esi kahani jisse sunna nhi jeena jaruri haii, Jab train se utarta hun toh phli nazar chai ki choti si dukan par padti hai Subha ke 6 baje Chai ko naa nhi keh paata bas chaldeta hun dukan ki taraf, Esa lagta hai tumhare shaher me samay rukasa hua hai Dukan me radio par ghulam ali sahab dheemi awaaz me gunguna rahe hain 🎶 Apani Ankhon Mein Chhupa Rakhein Hain Jugnu Main Ne Apani Palakon Pe Saja Rakhe Hain Ansu Main Ne Meri Ankhon Ko Bhi Barasaat Ka Mauqa De De Ham Tere Shahar Mein Aaye Hain, Musaafir Ki Tarah 🎶 Chai khatam karke nikalta hun sadak par Meri bahot baatein hui hain tumhare shaher ki sadkon se Wo tumhara aana jaana yaad rakhti hain, Tumhare shaher mein gaadiyon ke horn se jyada mandiron ki ghantiyan sunai padti haii Aur mandiron ke bahar milte hain rang virange phool, Woh phool dekh kar mujhe esa lagta hai har phool kurbaan hi ye soch ke hua ho ke wo tumhare gazrey me apni jagah bana sake, Toh mandir ke bahar se kuch phool khared leta hun jisse Ghar jaakr tumhare liye gazra apne haanthon se bana sakun main jo aage chalta hun toh meri mulaqat galiyon se hoti hai Tumhare bheege baalon jaisi uljhi galiyan Jo sulajhna nhi chahati aur yakin maano unhe suljhana kisi paap se kam nhi Bahot khubsurat lagti hain tumhari bheegi uljhi zulfen Aur unse jyada khubsurat lagti ho tum Unhe suljhata hue Main ye sochta sochta kab apne ghar pohach jata hun pata hi nhi chalta Tumhare ghar Tumse darwaza kholne ki ummid nhi karta Khud hi kundi sarka kar andar aajata hun Toh pata hun table par ek khat Jisme tumne likha hai Aagye aap? Chlo fresh hojao aur mere liye badiya si adrak wali chai banakar rakho Main mandir jaarhi hun jldi ajaungi
Wapas aungi toh bahot saari baatein karni hain aapse
Main woh khat dekh kar muskurate hue sochne lagta hun Mujhe tumhare shaher mein bitaya hua har ek pal ek kahani jaisa lagta hai Ek esi kahani jise sunna nhi jeena jaruri haii...
~ Sehr
47 notes · View notes
blogbyameera · 8 months
Text
" Mein yahan iss ghar mei har jaagh tumhey itni baar dekh chuka hoon ke ab tum mere samne ho toh mujhe yaqeen nahi araha ,
mujhe lag raha hai mein koi khuvab dekh raha hoon aankhen kholunga toh sab kuch hoga..bas tum nahi hogi ,
aankhen band karunga toh uss khuvab mei dobara nahi ja paunga , tum wahan bhi nahi hogi , mujhe tumhe haath lagate dar lagta hai .. haath barhaunga toh sab kuch tehleel hojayega jaise paani mei nazar ane wala aks "
- salar sikander az peer e kamil
89 notes · View notes
maihonhassan · 13 days
Text
Accepting your real self can be different at time, but not for Jaun Eliya when he said these lines;
Wo hai jaan ab har ek mehfil ki, hum bhi ab ghar se kam nikalte hain
Kya takalluf karen ye kehne mein, jo bhi khush hai hum us se jalte hain
25 notes · View notes
Text
"Tum mujhse puchte ho ke mujhe tumhari kya baat achhi lagti hai. Mai tumse yeh kaise kahun ki mujhe tumhari kaunsi baat achhi nahi lagti? Apne ird-gird tumhara ghumna, mere wajood se na hatne wali tumhari gehri bolti nazre, tumhari har waqt ki tawajjo, tumhara jaan chhirakne waala haar andaz. Haar bar jab tum mere maa-baap ke liye ehtaraman khadey hote ho toh main tumhare samne jhukne lagti hoon.
Aur kya kuchh nahi jo mujhe tumhare samne moum nahi karta. Ek chhotey se ghar ke iss pankhe waley kamre mein tumhari yeh gehri neend, mineral water bottle ko dhundne ke bajaye nalke ka paani peelena, handwash chhorke ek saste sabun se haath dhona, apni plate ko meri maa ke haath ke pakey khaane se baar baar bharna. Par main yeh sab tumko kabhi nahi bataungi.
Tumhare haar wadey par hasungi, tumhare haar baat ka mazaak udaungi. Tum mujhe sang-e-marmar samajhte ho, toh samajhte raho. Main tumhare samne rait ki dewar nahi ban sakti. Mujhe toot janey se khauf aata hai."
- Kashaf Murtaza, Zindagi Gulzaar Hai
158 notes · View notes
verses-n-moon · 3 months
Text
Kitni ajeeb baat hay jis ghar mein pura bachpan guzra ho, wo ghar aik din chor ke jana parta hay. Aur phir jab Shadi ke bad wapis maa baap se milne jao to wo mehmano ki tarhan khatir tawazo karte hain. Be'Shak ye har bandi karti hay, lekin kisi ke liye bhe apne maa baap, apne comfort zone ko chorna asan nhi hota. Isliay kisi ki beti/behen ko muhabbat aur izzat se treat kia kren. Allah har behen, beti ka naseeb acha kare, Ameen suma Ameen. [via - Hazel Clouds]
21 notes · View notes
o-sahiba · 1 year
Text
Kisi roz mujhe, tumhe apne shehar bulana hai....
Kuch kisse tumhare sun ne hain, kuch khayal tumhe apne sunane hain...
Station par utroge jab tum, toh tumhe lene maine hi ana hai...
Naraaz matt hona, kyunki tumhe vahan thoda intezaar bhi karvana hai....
Kuch gulab tum lete ana, kuch phool'on ko maine tumhaare liye lana hai....
Dekhoge jab pehli dafa, toh thoda muskurana hai, aahan (no), galey nhi, mujhe tumse haath milana hai...
Tum hassna matt, mujhe thoda toh sharmana hai....Aakhir tumse milne mujhe pehli baar jo aana hai...
Kisi 5 star restaurant mein nhi, mujhe tumhe apne ghar ke paas vale uss café mein lejaana hai...
Jahan ka zikr maine yu'n hi baat'on mein kiya tha, vahaan tumhare saath coffee peene ka vaada mujhe nibhana hai....
Kuch baatien phir tumse bass yu'n hi krni hai, bhool gye na, abhi tumse tumhaara haal bhi poochna hai....
Phir tumhe apna shehar ghumana hai, short cut nhi, vahaan ka har lamba raasta tumhe dikhana hai...
Aahan (no), tumhe thakaana nhi hai, bass tumhaare saath thoda waqt zyada guzaarna hai....
Mere school ki gali se mere ghar ka raasta dikhana hai, maine mera bachpan jahaan guzaara vahaan ka har nazaara tumhe dikhana hai...
Hairan matt hona, magar tumhe apne ghar mein sab se milwana hai, kyu khush rehti hu main itna, akhir uss vajah ko bhi toh sabko batana hai....
Mere kamre ki diwaar'on se tumhe waqif karana hai, kuch pall ke liye tumhe vahaan akele rehne dena hai...
Aahan (no), tumhe kaid nhi krna hai, jis cheez ka vaada kiya tha, tumhare liye khud bnayi uss chai ko bhi toh lana hai...
Phir kuch baatien tumse sukoon se krni hai, yaad hai na, abhi mujhe apne dil ka haal bhi tumhe batana hai...
Tumhari baat'on mein mujhe tumhari hassi se milna hai, kitna waqt intezaar mein guzaara, usse khatm kar tumhaari aankh'on mein bhi doobna hain...
Tum zidd krna phir vapis jaane ki, andhera zyada hone ki aur din dhal jane ki...
Aakhir iss bahane hamien bahar jo jana hai, aur phir taar'on ke chaanv ke neeche kuch waqt aur guzaarna hai...
Tum thame rehna haath mera, andher'on mein mujhe thoda dar lagta hai, tum saath chalna mere, ladkhadate mere jazzbaat'on ko bhi toh mujhe sambhaalna hai...
Khule aasman ke neeche aur us nadi ke kinaare hamein kuch waqt aur guzaarna hai, tum dekhna taar'on ki taraf, mujhe toh mera chand tum mein dekhna hai...
Na kuch aur kehna hai, na hi tumse kuch aur sun na hai, vapis jaoge jab tum, toh uss waqt tumse haath nhi, mujhe tumhe apne galey lagana hai...
Aahan, hairan matt hona, tumse kuch badle mein nhi maangna hai...
Mujhe toh apni mohabbat ka izhaar tumse bss kuch yu'n hi krna hai...
Haan, issiliye, kisi roz mujhe tumhe apne shehar bulana hai...
Kuch kisse tumhaare sun'ne hain, kuch haal apne dil ka batana hai...
-jm
236 notes · View notes
kabhi-kabhi-aditya · 5 months
Text
mujhe malum hai tum raaste kyu bhool jaati ho,
tumhe har raaste ke ant se darr lagne lagta hai,
koi bhi raasta jo der tak seedha chala jaye,
tumhe lagta hai ye na pahuchega, kahi band ho jayega
yahi acha hai koi mod mud jao,
tumhe kuch raaste dohrane se bhi khauf aata hai,
ki tum har jane pehchane hue raste se darti ho,
kai baar ho chuka hai baīdhyani mein, usi darwaze par aakar ruki ho,
aur dastak dete dete bach gayi ho
jo andhi gali ka aakhri ghar tha ,
mujhe malum hai tum raaste kyu bhool jati ho
-Gulzar
33 notes · View notes
Text
Heyaa!! So, after 250 posts on this blog finally here is my intro post.
My name's deekshaa but I go by the name dishaa for my writings (introvert and overthinker hoon).
My other blogs @whatsleftofdishaa @thatwannabegirlsblog
This blog's my sukoon ghar (bhale hi messed up hai). So, please hate, porn, bullshit blogs stay away. And also mere mutuals bhut pyaare so don't try to mess them varna it will result in lafde.
I like to capture moments ya fir saral bhasha mein kahe to Mujhe photos click krne ka shaunk hai or sirf photos nhi videos bhi. Or meri pyari pyari aesthetic photos or videos main mostly instagram or pinterest pe post krti hoon. Dono ke links ye rahe
Instagram
Pinterest
I'm a huge sitcoms fan and a hopeless romantic. Mera all time favourite sitcom is Brooklyn nine nine. My whole personality is a mix of all Brooklyn nine nine characters.
And gaane main har type ke sunti hoon, my music taste is a mix of everything. High beat se leke low beat sab pe vibe krleti hoon main.
Mera Spotify
Or likhne ka shaunk rakhti hoon to tumblr ke ilava I post my words on instagram.
59 notes · View notes
mahv-e-hayaat · 8 days
Text
What is stronger than the human heart which shatters over and over and still lives -Rupi kaur
Ek aur din guzar gaya har koi apne ghar gaya..kisi ko Ishq hua zindagi se toh koi zindagi se hi dar gaya
Also Ahmed Faraz wrote;
Kisi ko ghar se nikalte hi mil gayi manzil koi humari tarah umr bhar safar mein raha
14 notes · View notes
hum-suffer · 16 days
Text
(I've kept navratri ke upvas and I don't eat salt in the fast. I've come to visit my bua)
My bua: isko kuch de bhi nhi sakte nashta, har cheez namak wali hi hai humare ghar mein. (To me) kitni kharab hai re tu
8 notes · View notes
qazaaaaa · 21 days
Text
khair ab kuch karne ma mann hi nahi karta,bas kaam se ghar, ghar se kaam,bich mein kuch waqt milta hai toh likh leta hoon,ek baat jaani hai kisiko kuch batane se kuch faayda nahi hota,paise ho agar tab bhi therapy na jaau, randirone karne ki himmat nahi hoti kiske aage,na hi taakat hoti hai,aalsi hoon,gharwale muskaate dekhte toh kehte tu mast humesha khush rehta hai,main bhi haami bhar deta hoon hass ke, unki bhi kya galti,khair,na tabiyat saath de rahi hai,na aayina,na mera vyaktitv aur na hi qismat,bas zawaal mere khemein mein rehta hai har waqt,wafadar hai kaafi,mere aansuon ki tarah,khair kya hi bakwaas chod raha,who cares,we ball hehe
7 notes · View notes
mmwiddc · 22 days
Text
Qaidkhana
Har raat der se ghar aata hun Apne kamre mein khayalon saa andhera banata hun Kuch diwaron ki sunta hun kuch apni sunata hun Baat manki naa ho toh chup lagata hun Bistar ke sirhane par khwab bahakar Sir se itna bojh hatata hun Fir khuda ko yaad karta hun Khuda se rehem ki guhaar lagata hun Apne khayalon mein besud saa hokar Main chand ko khudse milne bulata hun Use dekh kar khudko bahot rokta hun Firbhi use chune chalajata hun Magar yeh khwaab hai haqiqat nhi woh gayab hota hai tb samajh pata hun Ek koshish mein Kahan harta hun Dobara koshish karta hun dimag pr aur zor lagata hun Tab uski hasi meri kaanon mein gunzti hai Main dil par haanth rakhkar use samjhata hun Thoda waqt lagta hai dhadkan sambhalne mein Utni der mein saanson pr kaabu pata hun Us chand ki ek jhalak ke khatir Sehr se phle har haal mein Sojata hun main Roz raatme gharpe aakar Har raat Ghar ki talash mein nikal jaata hun
~ Sehr
33 notes · View notes
shut-up-rabert · 1 year
Note
I want to shout this BAD.
Indian. Serials. Or Soap-Dramas. Are. Not. That. Bad.
I mean- I saw people arguing how being a Nagin makes no sense and I was like- so being turned into a shapeshifter vampire with bloody fangs makes sense? Hypocrisy smh.
I can name quite a few Indian shows (the Tv ones, Web series are already appreciated) that actually are amazing! They just fall short when creators choose quantity over quality.
Of course, classics like Sarabhai vs Sarabhai, Office Office, Byomkesh Bakshi, Malgudi days, Mahabharata and Ramayana get the praise they truly deserve! But here some relatively modern shows that get looked over due to same old Saas-Bahu genre.
Yeh unn dino ki baat hai (90s romantic drama), Har yug mein aayega ek arjun (my favourite criminal thriller), Adaalat (law-crime thriller), Beyhadh (the first season is one the best psychic-romance thrills ever), Ek Hasina thi (romantic thriller + also contains Vatshal Sheth from Tarzan the wonder car and is- chef's kiss).
Also can I say Naagin 1, no matter how much everyone bashes it today, was actually a dhasu show?
Honestly, I can add quite a few to the mix myself. Saraswatichandra? Best Romance I’ve seen till date. Ishqbaaz? Laughing out loud since episode 2. Qubool hai? The one time I like Karan Singh Grover. Laut Aao Trisha. Saubhagyavati Bhava. Bepanah. Starplus Mahabharat. Madhubala. On and on and on. Heck, even Anupama wouldn’t be so bad if it stuck to the plot and not for duniya bhar ka drama. But that’s exactly where the problem arises. All these serials start very VERY promising. They deliver well at the beginning aswell. The starting is what gets you hooked, you hope for something entertaining and they seem rather fit for that role. Sure, the overdramatism is there, but this is India, we can digest that much dhum tananananananana tere na tere na tin.
Things start going south when shows start pulling TRP. All the money hungry producers think that “hmmmm, this looks nice, I can milk it. What can possibly go wrong?” Hint: possibly everything can go wrong.
Lets look at Ishqbaaz for example. Three brother, three different perceptions of love, three distinct love stories. A shining new concept with four rather attractive leads to have the young adult population flocking, isn’t it?
It starts really great aswell. The first few episodes stick to the point very well, excessive delay like 3-4 days for like one person to turn around and shit aren’t there. It’s funny, it’s cute, it shows character arcs brilliantly. You’d expect the main leads to all fall in love, learn something and the show to end , right?
Wrong. It starts going off hinges really fast as soon as Starplus realises that the money making cow should stay. The main lead is suddenly super toxic. Shit like ghar ke bahu bete suddenly staging Agatha Christie level conspiracies and having the same intellect as Batman on shrooms becomes the norm. Drama like chhat se girkar yadaasht chale jaana, sautan ka plan samjhna, aur end m pta chlna ki bhencho sab kiya dhara heroine ki saas ka tha. Yep.
I stopped watching here but the thing is there was a look alike adla badli arc after this, so you can see how bad it went.
Next I watched, Saraswatichandra. I kid you not, it had the BEST setting one could ask for. A emotionally stinted guy coming all the way from Dubai to reject this girl, staying in her house. When everyone thinks they are getting married but they resent each other and secretly start falling in love, no? What more can one ask for? They admit their love and do actually get married while none in the families is wiser.
BUT, they had to add faltu ka natak, so add faltugiri they did. Bina baat ka action, stereotypical portrayal, heroine ki kahi aur shaadi, waha se uska talak, heroine ki sister falling in love with hero, whole family conspiring, kidnapping, yada yada yada, y’all get the jist.
The thing is, this wouldn’t be as bad if the characters still acted wisely in the bizzare situations. Or if the situations made sense. Who THE FUCK breaks their engagement a day before the wedding because they got disowned by their dad? Why did he immediately forget that he’s still entitled to his mother’s stuff? Akal kaha hai teri madarchod?
Producers butcher good storylines for paisa. People with no motivation are trying to kill bahu because they are bad. Police is not doing its job, not because its corrupt but because saas bahu ko khud detective khelna hai. Family drama mein randomly kahi se bhi chudail aa jaati hai even if the show not fantasy based. Vamp mast 16 khoon kar deti hai but still is legally allowed in the house. (Konsa law hai ye bc?) Why is everyone so out of character suddenly? WHY IS EVERYONE STUPID?
So, here’s the issue with indian serials: they don’t stick to the story, nor do they develope the story according to the characters, instead they alter the characters, premise and genre of the soap according to whatever story they think will fetch more views. This makes the whole thing bizzare.
Of course, some norms are always relaxed in dramas and a lot more in fantasy/supernatural dramas, but there’s a limit to how much there should be based on characters/ premise of what you offered in the first place.
Bhabhiji and Happu work as well as they do despite overlooking all the points I mentioned because they refresh their storyline every week and aren’t a continous saga, plus they never took themselves seriously as and always promised to be whacky. This is not true for Ganga, Saath nibhana saathiya, Sasural Simar ka, Kumkum bhagya etc., Prachi suffering by the hands of her stepsister cum co-wife even though she can easily turn the tables by making a police report for bigamy becomes frustrating to witness at one point.
Didi ye kya bakwaas likha hai, seedhey bolo na: Indian serials are indeed good and full of potential, but the producers and writers refuse to see that potential and make us flock to other dramas by diminishing our energies.
55 notes · View notes
maihonhassan · 16 days
Text
When Ahmad Faraz said:
Hum ki dukh orh ke khalwat mein parhe rehte hain, hum ne bazar mein zakhmon ki numaish nahin ki
And Jaun Eliya Replied:
Wo hai jaan ab har ek mahfil ki, hum bhi ab ghar se kam nikalte hain
18 notes · View notes
shurveer · 3 months
Text
प्रबिसि नगर कीजे सब काजा,
हृदयं राखि कौसलपुर राजा...
22.jan.2024 Kehte hai ek din mein 108 baar Ram ka naam muh se nikalta hai, aur aaj duniya ka har vyakti atleast ek baar toh Ram naam bolega. Diwali ke din prabhu ne 14 saal ka van vyaas pura kar apne ghar Ayodhya mein wapis pravesh kiya tha. Aaj 500 se jyada saal baad Ram lala apne ghar wapis aaye hai. Yeh din dekhna mere liye kisi saubhagya se kam nahi hai, i feel a part of history, a part of the universe, a part of bhagwan, a part of my Raja Ram. जन जन के है राम, मन मन में बसे है राम। सारे जगत के राजा है ।।श्री राम।।
13 notes · View notes
chashmenaaz · 3 months
Text
Us aangan ka chand
Tumblr media
Sham samay ek unchi sidhiyon wale ghar ke aangan mein chand ko utre dekha hum ne, chand bhi kaisa? pura chand insha ji in chahne wali dekhne wali ankhon ne mulkon mulkon, shahron shahron, kaisa kaisa dekha chand har ek chand ki apni dhaj thi har ek chand ka apna roop lekin aisa raushan raushan, hansta batein karta chand? dard ke tees tu uth’ti thi, par itni bhi bharpur kabhi? aaj se pehle kab utra tha dil mein itna gahra chand! hum ne to kismat ke dar se jab paye andhyare paye ye bhi chand ka sapna hoga, kaisa chand, kahan ka chand?
🌙
insha ji duniya walon mein be sathi, be dost rahe jaise taron ke jhurmut mein tanha chand, akela chand Unka daman is daulat se khali ka khali hi raha warna the dunya mein kitne chandi chand aur sona chand jag ke charon koot mein ghuma, sailani hairan hua is basti ke is kuche ke is aangan mein aisa chand? ankhon mein bhi chitwan mein bhi chand hi chand chamakte hain chand hi tika, chand hi jhumar, chehra chand aur matha chand Ek ye chand nagar ka basi jis se dur raha sanjog warna is duniya mein sab ne chaha chand aur paya chand
Tumblr media
🌚
ambar ne dharti par phenki nur ke chheent udas udas aaj ki shab to andhi shab thi, aaj kidhar se nikla chand! insha ji ye aur nagar hai, is basti ki reet yahi sab ki apni apni ankhein, sab ka apna apna chand! apne sapne ke matle par jo chamka wo chand hua jis ne mann ke andhyare mein aan kiya uj’yari chand chanchal muskati-muskati gori ka mukhda mahtab Pathjhad ke peDon mein at’ka pila sa ek patta chand dukh ka dariya sukh ka sagar uske dam se dekh liye hum ko apne sath hi lekar Duba aur ubhra chand
🌔
jhuki jhuki palkon ke niche namnaki ka naam na tha ye kanta jo hamein chubha hai kash tujhe bhi chubhta chand raushnion ki pili kirchein, purab pacchhim phail gain tune kis shay ke dhoke mein patthar pe de patka chand hum ne to donon ko dekha, donon hi bedard kaThor dharti wala, ambar wala, pahla chand aur duja chand chand kisi ka ho nahi sakta, chand kisi ka hota hai? chand ke khatir zid nahi karte ae mere achchhe insha chand
Ibn e Insha
7 notes · View notes