Tumgik
Text
Sawal : Shafa'at Ke Mutalliq Musalmano Ka Kya Aqeeda Hai
Jawab : Huzoor ﷺ Shaafa'e Mahshar Hain, Aap Ki Shafa'at Se Ahle Mahshar Ko Hisab Kitab Ke Intizar Se Najat Milegi, Bahut Se Bila Hisab Jannat Mein Jayenge, Kayi Ke Darajaat Buland Honge, Bahut Se Jahnnam Mein Jaane Se Bach Jayege, Bahut Se Jahnnam Se Nikaal Liye Jayenge, Aap Ke Baad Ambiya -e- Kiraam Phir Auliya -e- Uzzam, Shuhada, Ulama -e- Haq, Hafiz Waghaira Apne Mutalliqeen Ki Shafa'at Karege.
(📚allama sayyed shah turabul haq qadri, deeni taleem page, 71)
1 note · View note
Text
Sawal : Aqeeda -e- "Haazir Wa Naazir" Ka Mafhoom Bayan Kijiye.
Jawab : Ahle Sunnat Ka Aqeeda Hai Jis Tarah Rooh Apne Badan Ke Har Juz Mein Maujood Hoti Hai Usi Tarah Roohe Mustafa ﷺ Ki Haqeeqat Kaaynat Ke Har Zarre Mein Jaari Wa Saari Hai Jis Ki Bina Par Jaane Kaaynat Roza -e- Aqdas Se Tamam Kaaynat Ko Apni Hatheli Ki Tarah Mulahiza Farmate Hain, Dooro Nazdeek Ki Aawazein Yaksa Sunte Hain Aur Apni Roohaniyat Aur Nooraniyat Ke Sath Beyak Waqt Mut'addad Maqaamat Par Tashreef Farma Ho Sakte Hain.
(📚All ama sayyed shah turabul haq qadri, Deeni taleem, page: 57)
0 notes
Text
Sawal : Hayate Ambiya -e- Kiraam Ke Mutalliq Ahle Sunnat Ka Aqeeda Bayan Kijiye.
Jawab : Ambiya -e- Kiraam Apni-Apni Qabro Mein Usi Tarah Haqeeqi Taur Par Zinda Hain Jaise Duniya Mein The. Wo Khate Peete Hain, Jaha Chahte Hain Aate Jaate Hain Aur Tasarruf Farmate Hain. Allaah Ta'ala Ke Farman Ke Mutabiq Un Par Ek Aan Ke Liye Maut Taari Huyi Aur Wo Phir Zinda Kar Diye Gaye.
(📚allama sayyed shah turabul haq qadri, deeni taleem, page: 44/45)
0 notes
Text
Sawal :Iznillaah" Is Aayat Se Kya Nateeja Akhaz Hota Hai?
Jawab : Is Irshad Se Maloom Hua Ke Allaah Ta'ala Ke Diye Huye Ikhtiyar Se Us Ke Mahboob Bande Murde Zinda Kar Sakte Hain. Isiliye Mahboobane Khuda Ki Taaqat Wa Qudrat Manna Shirk Nahin Balki Ayine Tauheed Hai.
(📚allama sayyed shah turabul haq qadri, deeni taleem, page:36)
0 notes
Text
Sawal : Aqeeda -e- Taqdeer Kya Hai?
Jawab : Allaah Ta'ala Ne Apne Azali Ilme Ghaib Ke Mutabiq Jaisa Hone Wala Tha Aur Jo Jaisa Karne Wala Tha Us Ne Likh Diya. Yoon Samajh Lijiye Ke Jaisa Hum Apne Irade Aur Ikhtiyar Se Karne Waale The Waisa Us Ne Likh Diya Yaani Us Ke Likh Dene se Kisi Ko Majboor Nahin Kar Diya Warna Jaza Aur Saza Ka Falsafa Be Ma'ana Hokar Rah Jaata, Yahi Aqeeda -e- Taqdeer Hai.
(📚allama sayyed shah turabul haq qadri, deeni taleem page: 35)
0 notes
Text
Sawal : Acchayi Aur Burayi Ki Nisbat Kis Ki Taraf Karni Chahiye?
Jawab : Bure Kaam Ki Nisbat Allaah Ta'ala Ki Taraf Karna Be Adabi Hai Isiliye Hukm Hua "Tujhe Jo Bhalayi Pahuche Allaah Hi Ki Taraf Se Hai Aur Jo Burayi Pahuche Wo Teri Apni Taraf Se Hai (An Nisa:79)
Pas Bura Kaam Karke Taqdeer Ya Allaah Ta'ala Ki Taraf Mansoob Karna Bahut Buri Baat Hai Isiliye Acche Kaam Ko Allaah Ta'ala Ke Fazlo Karam Ki Taraf Mansoob Karna Chahiye Aur Bure Kaam Ko Shamate Nafs Samajhna Chahiye.
(📚allama sayyed shah turabul haq qadri, deeni taleem page: 33/34)
0 notes
Text
Sawal : Allaah Ta'ala Har Shay Par Qaadir Hai Magar Koi "Muhaal" Allaah Ta'ala Ki Qudrat Mein Dakhil Nahi, Wazahat Karein.
Jawab : Muhaal Use Kahte Hain Jo Maujood Na Ho Sake. Maslan Doosra Khuda Hona Muhaal Yaani Na Mumkin Hai To Agar Zere Qudrat Ho To Maujood Ho Sakega Aur Muhaal Na Rahega Jab Ke Us Ko Muhaal Na Manna Wahdaniyate Ilaahi Ka Inkar Hai, Isi Tarah Allaah Azzawajal Ka Fana Hona Muhaal Hai Agar Fana Hone Par Qudrat Maan Li Jaaye To Ye Mumkin Hoga Aur Jis Ka Fana Hona Mumkin Ho Wo Khuda Nahin Ho Sakta, Pas Sabit Hua Ke Muhaal Wa Na Mumkin Par Allaah Ta'ala Ki Qudrat Manna Allaah Ta'ala Hi Ka Inkar Hai.
(📚allama sayyed shah turabul haq qadri, deeni taleem, page:33)
0 notes
Text
Sawal : Kya Eid Milaadun Nabi Aur Auliya Ka Urs Manana Shirk Hai ?
Jawab : Harghiz Nahin Kyon Ke Eid Milaadun Nabi صلَّى اللهُ تَعَالَى عَلَيْهِ وَالِهِ وَسَلَّمَ Huzoor ki Paidayish Ki Khushi Mein Manayi Jaati Hai Jabke Rab Ta'ala Paida Hone Se Paak Hai . Isi Tarah Buzurgane Deen Ke Wisaal Ke Din Ko Urs Manaya Jaata Hai Jab Ke Rab Ta'ala Faut Hone Se Paak Hai . Goya Eid Milaadun Nabi Aur Urs Manane Se Shirk Ki Nafi Hoti Hai . Ise Shirk Kahna Jihaalat Wa Himaaqat hai
(📚allama sayyed shah turabul haq qadri, Deeni taleem, page : 39)
0 notes
Text
Sawal : Kufr Kise Kahte Hain?
Jawab : Islami Aqaid Ke Khilaf Koi Aqeeda Rakhna Ya Islam Ke Kisi Mashhoor Wa Ma'aloom Baat Ka Inkar Karna Ya Us Mein Shak Karna Jaise Namaz, Roza, Zakat Ya Haj Ko Farz Na Janna, Ya Qur'an Ko Allaah Ta'ala Ka Kalaam Na Samajhna Ya Jannat, Do Zakh, Firishte, Qiyamat Waghairah Par Yaqeen na Rakhna, Ya Kisi Nabi Ya Firishte Ki Tauheen Karna, Ya Kisi Sunnat Ka Mazaq Udana Ya Mazaq Mein Koi Kufriya Jumla Bolna Ye Sab Baatein Kufr Hain.
(📚allama sayyad shah turabul haq qadri, deeni taleem, page :28/29)
0 notes
Text
“Karamat Kya Hai
Momin Parhezgaar Se Agar Koi Aisa Ajeeb Wa Gareeb Ta'ajjub Khez Cheez Sadir Wa Zahir Ho Jaye Jo Aam Taur Par” “Nahi Hua Karti To Us Ko 'Karamat' Kahte Hain Isi Qism Ki Cheezein Agar Ambiya Se Ailane Nubuwwat Karne Se Pahle Zahir Ho To 'Irhaas' Aur Ailane Nubuwwat Ke Baad Ho To 'Moajezah' Kahlati Hain Aur Agar Aam Momineen Se Is Qism Ki Cheezon Ka Zahoor Ho To Us Ko 'Maunat' Kahte Hain Aur Kisi Kafir Se Kabhi Is Ki Khwahish Ke Mutabiq Is Qism Ki Cheez Zahir Ho Jaye To Is Ko 'Istidaraj' Kaha Jata Hai.”
(📚Karamaate sahaba, page: 31/32)
0 notes
Text
Sawal: Kufr Kise Kahte Hain?
‏Jawab: Islami Aqaid Ke Khilaf Koi Aqeeda Rakhna Ya Islam Ke Kisi Mashhoor Wa Ma'aloom Baat Ka Inkar Karna Ya Us Mein Shak Karna Jaise Namaz, Roza, Zakat Ya Haj Ko Farz Na Janna, Ya Qur'an Ko Allaah Ta'ala Ka Kalaam Na Samajhna Ya Jannat, Do Zakh, Firishte, Qiyamat Waghairah Par Yaqeen na Rakhna, Ya Kisi Nabi Ya Firishte Ki Tauheen Karna, Ya Kisi Sunnat Ka Mazaq Udana Ya Mazaq Mein Koi Kufriya Jumla Bolna Ye Sab Baaten Kufr Hain.
(📚deeni taleem page: 28)
0 notes
Text
Kabeera'h Gunaho'n ki tafseel
Gunah e Kabeera'h ki tadaad 16 hai, 2 Kabeera'h haath ke hain, ek chori karna aur doosra bina kisi wajah ke momin ka qatl karna. 4 zabaan se sarzad hote hain. Awwal gaali bakna, doosra jhoot bolna, teesra baa ismat aurat par bohtaan baandhna, chautha jhooti qasam khaana. 3 gunah pet ke hain.
Pehla sood khaana, doosra sharab noshi, teesra yateem ka maal khaana. 2 posheeda aaza ke hain. Ek zina aur doosra liwatat. Ek Kabeera'h pao'n ka hai aur wo jihad se bhaagna hai. 4 Kabeera'h ka talluq dil se hai.
Pehla Allah Ta'ala ka shareek thehrana, doosra gunah par israar karna, teesra Allah Ta'ala ki rahmat se mayoos ho jana, choutha makr (khufiya tadbeer) se khud ko mahfooz samajhna.
(Makhdoom Sayyed Ashraf Jahangeerj Samnani-Jahan e Uloom O Ma'arif, Safha 174)
Instagram || @mufti.asif.abdullah.qadri
0 notes
Text
Agar kisi shakhs ko ye maloom ho ke us ki zindagi ko ek hafta se zyada baqi nahi hai, tab bhi usko chahiye ke ilm e fiqh ke Husool mein mashghool rahe ke ek deeni mas'ala ka jaan lena Hazaar Rak'at Nafl ada karne se behtar hai."
(Makhdoom Sayyed Ashraf Jahangeer Samnani, Jahan e Uloom O Ma'arif Safha 164)
Instagram || @mufti.asif.abdullah.qadri
0 notes
Text
Aur Jisne Tumhare Liye Zameen Ko Bichhauna Aur Aasman Ko Imarat Banaya Aur Aasman Se Paani Utara To Usse Kuchh Phal Nikaale Tumhare Khane Ko To Allah Ke Liye Jaan Boojh Kar Barabar Waale Na Thehrao (22)
(Sureh Baqarah ayat 21)
(📚Kanzulislam)
0 notes
Text
ZIARAT E QUBOOR KE FAWAID:
Aap ne farmaya: "Akabir ke mazarat ki ziyarat bhi zaroor karna chahiye ke ba'az Arbab-e-tareegat aur As'haab-e-ma'arifat ne apne Magsood e haqiqi ko in Quboor ki ziyarat o Mulaazimat hi se hasil kiya hai. Qabar par jane ke bahut se faide hain, Ek to ye ke tum kisi se mulaqat ke liye jate ho to us mein jis qadar bhi qareeb hoge utni hi tumhari taraf us ki tawajjoh zyada hogi, Dusre ye ke jab kisi qabar par jaoge aur sahib-e-qabr ki qabr ka mushahida karoge to sahib-e-qabar bhi pure taur par tumhari taraf mutawajjah honge aur un se zyada faida hasil hoga.
(📚Makhdoom Sayyed Asharaf Jahangeer- Jahan e Uloom O Ma'arif ,Safha 172-173)
0 notes
Text
Musalmaan Ki Ye Shaan Nahin Ki Wo Ghair Muslimon Ko Apna Raaz Daar Banaye, Musalmaan, Musalmaan Se Mashwara Kare, Aaj Muslim Qaum Ko Nuqsaan Jo Pahunch Raha Hai, Us Ki Wajah Ye Hai Ki Musalmaanon Ne Ghair Musalmaanon Ko Apna Raaz Daar Bana Liya Hai.
Taajush Shari’ah Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan Qadiri Noori Razawi (Alayhir Rahmah
Instagram || @mufti.asif.abdullah.qadri
0 notes
Text
Hamaari Aur Aapki Zindagi Ka, Dunya Me Aane Ka Aur Dunya Me Rahne Ka Maqsad Bhi Yahi Hai Ki Ham Allah Ko Pahchaane, Us Ke Rasool Ke Waseele Aur Buzurgaan E Deen Ke Waseele Se Allah Waale Hon.
Taajush Shari’ah Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan Qadiri Noori Razawi (Alayhir Rahmah
Instagram || @mufti.asif.abdullah.qadri
0 notes