Tumgik
nabikhwam · 2 years
Text
Tanhai:-
Tanhai bhi hai, 
Aur kbhi kbhi perfection ke race mein, 
Smile bhi khoi hai, 
Akele he aaye hain aur akele he jaana hai, 
Par akele reh jaane se jyada mushkil aur kuch bhi nhi, 
Kahin bheed mein bhi hum tanha hai, 
Ab awaazein bhi tang krne lagi hai,
 Gumnaam hai har koi yahan, 
Tanha hai hai koi yahan, 
Koi dusron se ladh kar thak gaya toh, 
Koi khud se ladh kar haar gaya, 
Akele ladh te-ladh te kab akele jina pade jayega kabhi socha na tha,
 Kabhi apne ansoon ko muskurahat ke piche chipana hoga socha na tha, 
Koi toh ho jo har mod per saath de, 
Koi toh ho jo miss perfect ke iss nakab ko nhi, 
Blki the real me ko pasand kare, 
Akele aaye hain aur akele he jana hai, 
Bas iss bheed mein khud ko aur nhi khona hai, 
Tutna hai, bikhar na hai par khudko ab tanhai se mohabbat krna sikhaana hai, 
Mushkil hai par krna hai, Ab tanhai ko apna dost banana hai,
 Ab tanhai mein sukoon doondh na hai, 
Ab tanhai mein the REAL ME se milna hai, 
Jahan Perfection ke race na ho, 
Jahan apne emotions ko aur chupana na pade, 
Jahaan sirf mein rahoon the REAL ME aur meri TANHAI...... 
2 notes · View notes