Tumgik
#BIBLSAY Twelve Tribes of Israel Twelve disciples of jesus
yasarimel · 2 years
Text
BIBLE SAY ABOUR #Twelve Paidáish 42; 32 Ham bárah bháí ek hí báp ke beṭe haiṉ; ham meṉ se ek ká kuchh patá nahíṉ, aur sab se chhoṭá is waqt hamáre báp ke pás mulk i Kan‘án meṉ hai. Istisná 27;1 Aur Músá ne usí din logoṉ se tákíd karke kahá, ki 12 Jab tum Yardan pár ho jáo, to koh i Garizím par Shama‘ún, aur Láwí, aur Yahúdáh, aur Ishkár, aur Yúsuf, aur Binyamín khaṛe hoṉ, aur logoṉ ko barakat sunáeṉ. 13Aur Rúbin aur Jadd, aur Áshar, aur Zabúlún, aur Dán, aur Naftálí koh i ‘Aibál par khaṛe hokar la‘nat sunáeṉ. 14Au Ḳhurúj 28;17 Aur chár qatároṉ meṉ us par jawáhir jaṛná. Pahlí qatár meṉ yáqút i surḳh, aur pukhráj, aur gauhar i shabchirág̣ ho. 18Dúsrí qatár meṉ zumurrud, aur nílam, aur hírá. 19Tísrí qatár meṉ lasham, aur yashm, aur yáqút. 20Chauthí qatár meṉ fíroza, aur sang i sulaimání, aur zabarjad. Yih sab sone ke ḳhánoṉ meṉ jaṛe jáeṉ. 21Yih jawáhir Isráíl ke beṭoṉ ke námoṉ ke mutábiq shumár meṉ bárah hoṉ; aur angushtarí ke naqsh kí tarah yih nám, jo bárah qabíloṉ ke nám hoṉge Hizqíel 28;13 Tú ‘Adan meṉ, bág i Ḳhudá meṉ, rahá kartá thá; har ek qímatí patthar terí poshish ke liye thá, masalan yáqút i surḳh, aur pukhráj, aur almás, aur fíroza, aur saṉg i sulaimání, aur zabarjad, aur nílam, aur zumurrud, aur gauhar i shabchirág̣, aur sone se tujh meṉ ḳhátimsází aur nagínabandí kí san‘at terí paidáish hí ke roz se járí rahí Mukáshafa 21;19 Aur us shahr kí shahrpanáh kí bunyádeṉ har tarah ke jawáhir se árásta thíṉ. Pahlí bunyád yashab kí thí; dúsrí nílam kí; tísrí shabchirág kí; chauthí zumurrud kí; 20páṉchwíṉ ʻaqíq kí; chhaṭí laʻl kí; sátwíṉ sunahre patthar kí; áṭhwíṉ fíroze kí; nawíṉ zabarjad kí; daswíṉ yamaní kí; gyárahwíṉ saṉg i sumbulí kí, aur bárahwíṉ yáqút kí. Aʻmál 7;8 Aur us ne us se ḳhatne ká ʻahd báṉdhá; aur isí hálat meṉ Ibráhím se Izháq paidá húá, aur áṭhweṉ din us ká ḳhatna kiyá gayá; aur Izháq se Yaʻqúb, aur Yaʻqúb se bárah qabíloṉ ke buzurg paidá húe Matí kí Injíl 19:28 Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki jab Ibn i Ádam nayí paidáish meṉ apne jalál ke taḳht par baiṭhegá, to tum bhí jo mere píchhe ho liye ho, bárah taḳhtoṉ par baiṭhkar, Isráíl ke bárah qabíloṉ ká insáf karoge. Matí kí Injíl 10;2 Aur bárah rasúloṉ ke nám yih haiṉ: pahlá, Shamaʻún, jo Patras kahlátá hai, aur us ká bháí Andriyás; Zabdí ká beṭá Yaʻqúb, aur us ká bháí Yúhanná; 3Filippus, aur Bar-Tulmáí; Tomá aur Matí mahsúl lenewálá; 4Halfaí ká beṭá Yaʻqúb aur Taddí; Shamaʻún Qanʼání, aur Yahúdáh Iskariyotí, jis ne use; pakarwá bhí diyá. 5In bárah ko Yisúʻ ne bhejá, aur unheṉ hukm deke kahá, ki
Tumblr media Tumblr media
0 notes