Tumgik
musicalabhishayari · 2 years
Text
10+ Best Shayari
Tumblr media
Uski Haisiyat Ki Barabari Hum Kya Karte ‘Abhishek’,
Jiske Mehel Ki Ek Deewar Ke Saye Se,
Hamara Kaccha Makan Dhak Jata Ho.
Zindagi gawaye huye ho
‘Abhishek’ Aankho Se Intezar Ke,
Diye Jalaye Huye Ho,
Ye Ajeeb Si Kaisi Diwali Manaye Huye Ho,
Use Hoga Lautna To Aa Jayega,
Haal Sambhalo Apna,
Tum Maut Jee Rahe Ho,
Zindagi Gawaye Huye Ho.
Karu kya ‘Abhishek’
Usse Aage Nikla To Har Jaunga,
Peeche Raha To Mar Jaunga,
Sath Wo Chalta Nahi To Karu Kya ‘Abhishek’.
Read More: Musical Abhi
Nafratein lakh mili par
Nafratein Lakh Mili Par,
Kisi Ki Mohabbat Na Mili,
Zindagi Beet Gayi,
Magar Rahat Na Mili,
Teri Mehfil Me Har Ek Ko Hasta Dekha ‘Abhishek’,
Ek Mein Hi Tha Jise Hasne Ki Ijazat Na Mili.
Tere khusiyo ki khasti mere
Tere Khusiyo Ki Khasti Mere,
Aansuo Ki Neher Pe Chalti Hai ‘Abhishek’,
Ab Tu Dost Man Ya Dushman,
Tujhe Meri Lambhi Umar Ki To Dua Karni Padegi.
Mohabbat ki bandook se
Lautaal Diye Uske Tohfe Use,
Nikal Ke Sandook Se,
Ab Aur Nahi Bas,
Bahut Maar Liya Usne ‘Abhishek’,
Mohabbat Ki Bandook Se.
Hawa ke jhoke ne
Meri Kahani Ek Paid Ke,
Patto Pe Likhi Jaisi Thi,
‘Abhishek’ Kisi Hawa Ke Jhoke Ne,
Zindagi Bikher Di.
Read More: Musical Abhi
Uda dete hai
Parindo Ko Bhi Ghar Se,
Uda Dete H Log ‘Abhishek’,
Waham Chod De Tujhe Koi,
Palko Pe Bithayega.
Janaza uthao aur le chalo
Janaza Uthao Aur Le Chalo Mujhe Yaaro,
Bhut Hua Intezar,
Aane Wale Door Se Aa Gaye ‘Abhishek’,
Wo Pichli Gali Se Na Aaya.
Parindo ko azaad karde
Parindo Ko Azaad Karde ‘Abhishek’ Inke Apne Hai,
Har Koi Teri Tarah Akela Nhi Hota,
Waqt Rehte Nikal Aa Is Galatfemi Se,
Qaid Karne Se Kabhi Koi Apna Nhi Hota.
Zara sa qatra
Jaise Zara Sa Qatra,
Tair Jata Hai Pani Mein ‘Abhishek’,
Gar Itna Bhi Pyar Hota,
Uske Dil Mein, To Laut Aata.
Rooh ko jalan huyi
Tumblr media
Rooh Ko Jalan Huyi Jab Tujhe,
Kisi Aur Ke Sath Dekha ‘Abhishek’,
Tu Bata Khud Ko,
Jhooti Tasaslli Kya Dete.
Read More: Musical Abhi
Janne ke baad
Bas Ek Pal,
Ek Pal Jab Usne,
Thehar Ke Mujhse Baat Ki ‘Abhishek’,
Kya Roya Tha Wo,
Mujhe Kareeb Se Janne Ke Baad.
Uski talash khatm huyi
Shukr Hai Uski Talash Khatm Huyi ‘Abhishek’,
Ye Naya Tareeka Mujhe Rulane Ka,
Badi Mushkil Se Mila Hai Use.
Log bhi wah wah kar dege
Shayari Ke Hawale Se Mujhe,
Kehne Bhi Do ‘Abhishek’,
Log Bhi Wah Wah Kar Dege,
Mera Dil Bhi Halka Ho Jayega.
Ashq aankho mein liye
Ashq Aankho Mein Liye,
Use Chohdte Chale Aaye ‘Abhishek’,
Ye Majbooriyan Jo Karale So Kam Hai.
Mulakat ki talab hoti
Masroof To Khair Sabhi Hai ‘Abhishek’,
Waqt Nikal Ke Aa Jata Wo Agar,
Use Mulakat Ki Talab Hoti.
Hum is khushfemi mein
Ta-Umr Na Soye Hum Is Khushfemi Mein,
Bichad Ke Humse Wo Kahi Raato Ko,
Rota Hua,
Jagta Na Ho.
Ek uske bina ab dil lagta nahi
Tumblr media
Ek Uske Bina Ab Dil Lagta Nahi,
Wo Jo Kehti Thi Tum Mera Dil Ho,
Bada Asan Sa Safar Tha,
Mushkil Raho Mein Bhi Sath Uske,
Jaise Hunar Zinadgi Ke Hume Sare Hasil Ho,
Kitne Imtehan Aur Hoge,
Chubti In Saanso Ko Rokne Mein,
Ab To Yun Hai Uske Na Huye ‘Abhishek’ To Kisi Shakhs Ke Na Huye,,
Intezar Hai Bas,
Kab Hum Maut Ke Kabil Ho.
Wo aaye nahi
Suna Tha Kal Wo,
Apne Sabhi Dosto Se Milne Aaye,
Ghar To Mera Bhi Wahi Tha,
Wo Aaye Nahi.
Read More: Musical Abhi
Must Read
Dard bhari bewafa shayari
Killer attitude shayari in hindi
Alone Shayari
4 line heart touching shayari in hindi
Very sad 2 line shayari
Cute love shayari
True love shayari
Anniversary shayari in hindi
Janamdin ki shayari
2 notes · View notes
musicalabhishayari · 2 years
Text
Love Shayari
Apni Kasam Kha Kar
Tumblr media
Apni kasam kha kar mujhse hi wo ladti hai,
Ye badi khoobi uski baato mein jhalakti hai,
Use haq hai wo jo chahe kehde,
Ab usi ki saanse mere seene mein dhadkati hai,
Nazre mila kar mere, wo aansu le jati hai sabhi,
Kaha duniya uski ek nigah ko tarasti hai,
Dukh, dard, judai, gham ki dhoop se hum waqif nahi ‘Musical Abhi’,
Uske pyar ki khoobsurat ghata hum par barasti hai.
Visit Website >>>>>>>>> Musical Abhi
Wo Kaha Se
Wo kaha se sikhe hai baate banani Musical Abhi, Unki to har baat mein baat hai.
Mashoor Hai Wo Apni
Mashoor hai wo apni adaon ke liye,
Jaan zokhim mein dalkar uska deedar main karunga,
Gulab ki tareef akhir logo ne kyu band ki hai,
Baat karte waqt uske honton pe gaur main karunga,
Chand bhi shikayat roz khuda se yun hi na karta hoga,
Be-daag khoobsurati ko salam baar-baar main karunga,
Marte mar jau to mar jau, to phir mar hi jau,
Marte mar jau to mar jau, to phir mar hi jau,
Par uski kahi har baat pe aitbaar main karunga,
Wo pak dil wali masoom si pari hai Musical Abhi,
Chahe wo kare na kare,
Chahe wo kare na kare,
Main karta hu, usse pyar main karunga.
Kuch Der Ki Roshini
Tumblr media
Kuch der ki roshini aur wohi shaam,
Saare yaar aayenge phir wohi kaam,
Kashmakash mein zindagi hai lekin kash pe kash barabar ‘Musical Abhi’,
Phir botal khul jayegi apni-apni wali ke naam.
Visit Website >>>>>>>>> Musical Abhi
Uske Kangan Ki Awaz
Tumblr media
Uske kangan ki awaz ab bhi mere kano mein aati hai,
Wo aati nahi pass mere meri sharartein pata hai use,
Par tarkeebe main janta hu sari wo bas bahano mein aati hai,
Ki dur reh kar bhi roz ka aana jana rehta hai,
Thakti nahi hai aane mein wo khayalo mein aati hai,
Aur badi mushkil se main kisi ka ehsaan leta hu,
Zariya hawa ka hai (kaise) wajah main deta hu,
Usse maloom hai meri saansein pass uske hai,
Bhejti hai wo jo saansein wo hawao mein aati hai,
Bewakoof hai jo puchte hai mujhse uska naam,
Mere labzo ko to suno samjho wo meri baato mein aati hai.
Kyu Theher Jati Hai Nazar
Tumblr media
Kyu Theher jati hai nazar tum pe,
Aakhir tum mere lagte kya ho?
Kyu sirf tumhari talab,
Aakhir tum mere lagte kya ho?
Kyu ek hi shakhs ko hum zamana maan baithe,
Ye dil ko kya pareshani hai,
Aakhir tum mere lagte kya ho?
Tera gussa, teri berukhi, teri narazgi ek baar ko chalo seh bhi le,
Par teri nazarandzi se hum mar kyu jate hai,
Aakhir tum mere lagte kya ho,
Aur ye zakhm bhi hume har khazane se ajeez rahega Musical Abhi,
Heer- ranjhe se puch rahi hai,
Akhir tum mere lagte kya ho?
Barish Ye Bekar Lage
Tumblr media
Barish ye bekar lage,
Jazbato mein aag lage,
Be-matlab ki h saari baate,
Ishq_viskq mein aag lage,
Jhoole-wule tum hi jhoolo,
Hum kyu jhoole aise jhoole,
Jin jhoolo pe yaar na ho to,
Un jhoolo mein aag lage,
Dil se shayari likhne do,
Mujhe na roko kaam bahut hai,
Raat-raat bhar jagta hu yun,
Maut ke baad aaram bhut hai,
Abhi waqt bana raha hu,
Waqt hi mujhe banayega,
Jinki nazro mein hu chota,
Ye waqt hi unhe dikhayega,
Jo chohd gaya hai shakhs mujhe,
Tu laut ke ek din aayega,
Tujhe fikar nahi hai ab meri,
Teri befikri mein aag lage,
Barish ye bekaar lage,
Khamakha jazbato mein aag lage.
Visit Website >>>>>>>>> Musical Abhi
Faqat Mohabbat Mein
Faqat mohabbat mein hi hota hai ye haq ‘Musical Abhi’,
Wo uske ghar mein bhi lagti hai Amanat meri,
Uspe mohabbat ka lamha-lamha saja diya maine,
Khuda kehta hai lajawab hai sajawat meri,
Ab aaine ki gulami khatam hui yaaro,
Uski Aankho se kya saaf nazar aati hai banawat meri.
Ab Teri Hifazat
Ab teri hifazat main kaunga,
Jo tera nahi,
Usse khilafat main karunga,
Aa zara tu mujh gareeb ki basti mein ‘Abhishek’,
Ameero se zyada,
Sajawat main karunga,
Sir jhuka dunga,
Jo chahe saza dena,
Daag ye laga ki,
Tujhse bagawaat main karunga.
Must Read
Pyar Wali Shayari — Top 10 Pyar Wali Shayari Love
Sad shayari for boys l Sad shayari for girls
Dard bhari bewafa shayari
Killer attitude shayari in hindi
Alone Shayari
4 line heart touching shayari in hindi
Very sad 2 line shayari
Cute love shayari
True love shayari
Anniversary shayari in hindi
Janamdin ki shayari
3 notes · View notes