Tumgik
#bazmehayat
zayrayyy · 3 months
Text
Tumblr media Tumblr media
Rooh -E - Mann
Kitne bhi sitam tu kyun na kar mujh pe
Ho shikaytein, narazgiyan ya faasle
Par ek dfa tu jo pukaare mujhe
Rooh e mann !!
Yaad phir kya rahe?
Na sawaal rahe , na shikaytein
Na Mai rahu , na koi aur dikhe
Bas khayal tere, tu hi tu rahe..
Mai bhul jau narazgiyan, bhula doon gile sab
Mai thaam loon anaayein, vaar doon tujh pe sab
Mai bhul jau shikve, chor doon nafs
Mai bhula doon khud ko bhi, yaad rakhu tujhko bas..
Ishq me nafsiyati houn, kar jau aisa kuch
Mita kar vajood apna, ho jau Teri bas...
Mai sanwaar loon khud ko, tu aaja hisse mere
Mangu Khair Teri, sadqe jau yaar tere...
Tu hayat meri , tujh pe qurban jau
Tu Jeet jaa mujhse, Mai haar jau
Aur kya likhu? kaise mai Ishq jatau ?
Chura loon tujhe, tere ishq me kamli ho jau
(ثمرین ) نفسیاتی مریضہ ~
14 notes · View notes
zayrayyy · 2 months
Text
Ek umar lagti hai yeh samjhne me
K Jin zahiri behlaavo ko hum
Khushiyan samajh rahe hote hain
Unka hakeekatan vajood hi nahi hota
Woh Sara sar dhokha hota hai
Kabhi aankhon ka , kabhi Dil ka
Zindagi kabhi bhi ek jaisi nahi rehti
Zaruri toh nahi k jo khwahish aaj ho
kal tak uski talab rahe
Jin cheezon ki talab khatam ho jaaye
Woh khud ba khud mayassar hone lagti hai
Lekin tab na _Chah_ hoti hai na _Khwahish_
Jab hum zindagi se kinaara karne lagte hai
Jab saanson me bezaari shuru hoti hai
Jab tanhai k aadi ho jaate hai
Phir sab meharbaan banne ki koshish karte hai
Magar tab humara batin pur sukoon hone lagta hai
Hum inn faani chizon k liye udaas nahi rehte
Hum jeena seekh jaate hain
Jab hum hakeekat se _Muta'aarif_ hote hain
Hum hakeekat ka safar shuru karte hai
Jo mushkil toh hota hai lekin pursukoon
Zehn pe koi dabaav nahi hota
Socho mein jab tabdeeli aati hai
Yahi humara manzil ki taraf pehla kadam hota hai
( ثمرین) نفسیاتی مریضہ ~
5 notes · View notes
zayrayyy · 2 months
Text
Mai chahti hoon main zindagi khul k jiyun,
Yeh na ummeedi aur mayusi kahin dur chor aau
Lekin wahi kisi ka chubhta hua lehja mujhe aziat ki unn vaadiyon mein dhakel deta hai,
Jahan mujhe apna vajood bojh sa lagne lagta hai
Mai baatein bhul jaati hoon
Lehja bhulna asaan nhi hota.
(ثمرین) نفسیاتی مریضہ ~
3 notes · View notes