Tumgik
#diyaredil
shilzzzmaybe · 2 years
Text
📌 diyar-e-dil photo dump pt. 1
Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media
2 notes · View notes
Text
Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media
0 notes
desirants · 7 years
Photo
Tumblr media
#AskObi! Have you sent in your ques yet? Last call for #osmankhalidbutt fans to send in their ques for their fave star! Check out attached pics for details of what, when how! Ques are to be posted on the blog (desirantsnraves.com) . . #obi #youaskheanswers #interview #pakistaniactor #balumahi #aunnzara #diyaredil #baaghi #mayaali #janaan #humsafarparody
0 notes
jjb25 · 7 years
Text
Guess who finally finished watching diyaredil with her mum yesterday
0 notes
hikingandme · 8 years
Photo
Tumblr media
The view from #AghaJan ke #Haweli 😍 #Diyaredil #khaplupalace #khaplu #hiking_instareesha 4 days to go #inshallah (at Serena Khaplu Palace)
0 notes
Text
Lafz-e-Muhabbat ~  WaFa Confession ~ OneShot
Sadi kaati hai tere intezar me,jo ab na mile lafz-e-mohabat tou nainsafi hogi,
Mohabat me badla nah,aye Sanam,par wadah raaha ab yeh shan-e-beniazi na hogi.. - Rapunzel
Tumblr media
Lafz-e-Muhabbat ~ A WaFa Confession Take By Goldilocks
"Wali mjhsey nafrat karta hai , zarminey.. woh sirf agah jaan k lea mjhsey baat karta hai.. Main wali k sath rehna chahti hon zarminey.. par woh sab rishtey khatam kar raha hai.. woh mjhey chor dey ga.. dekh lena woh mujhey chor dey ga...chacha ka khawab...baba k khuwishein.. aur agah jaan ki sab khushiyaan bhikar jaein ge, zarminey... "
Woh kitchen main pani leney k garz sy atey' atey' qadam rok gaya tha joh uskey roney' ki awaz sun paya tha.. woh zarminey sey apney dil ka haal kehtey woh roti' usey' na janey' kuin itni achi lagi k woh wahan khara kuch lamhey usey' tak'ta hi raha tha.. phir gehra sans leta woh agey barha tha....
"Zarminey, agah jaaan tmhey bula rahe hain...unkey lea pani leti jao.. "
Wali ki awaz suntey' hi woh chonki.. woh foran zarminey sy dur' hat'ti apni ankhein' saff' kar gaye thi..
"Je Lala..."
zarminey pani ka glass leti' ja chuki thi.. jab k fara.. nashta pyaaz chilney' lagi thi..
"Ro rahi ho?"
Woh fridge kholta us pe ek nazar dalta poch gaya tha.. woh harbarayi si thi uskey sawal pe..ankheins saf karti..
"nahn toh..woh piyaaz kat' rahi thi bus islea..pani a gaya .."
woh mura' tha pani liye usey' dekhtey..
"Toh zar gul sey keh do piyaz kat dey.... "
woh kehta hi glass rakhta' wahan sy chala gaya tha.. toh usey' jatey dekh k woh phr sy sisaktey roney lagi thi.. rotey' rotey...gala'h joh kushk huwa..karash si hui...ankhein saf...karti woh pani peney k garz sy samney parey huwey glass ko uthati' honto'n sy laga gaye the.. toh aik ghont peney k baad woh sak't hui..joh woh beikhatyar pe' gaye thi uska chora' huwa pani..toh woh ab sans rokey' munjamind hui thi...
woh uska jhota' pani pe gaye thi?
aur tabhi kitchen main wapis qadmo'n ki awaz pe woh chonki samney nazar utha' gayi thi toh wali hi ko paya tha.. joh nazar dora raha tha..hath barhaye.. aur tabhi usey' bhi jasey ehsas huwa tha joh woh uskey jhoot pe mathey' pe bal' dalye' gaya tha ab usey' apna glass pakrey dekh k woh waqai alfaz ki kami sy wakif huwa tha..
"Pee lia hai pani?"
Woh ek do ghont bachey huwey the jasey..woh honto'n sy hat'ati parye kar gaye thi glass...uski apni traf nazron'..pe..woh munjamind si thi..aur agley lamha woh uskey hath sey glass aur slab pe pari pani ki bottle..dono leta wahan sey chala gaya tha....
aur woh wahen' khari kuch bhi sochney smjhney ki slahyet'  mukamal tor pe kho gaye the..
Tumblr media
"Main bohat achi nai toh bohat buri bhi nai hon , Agah Jaan."
Rah' dari sy guzartey uski aur agah jaan ki baatein suni thi.. tab sey hi uskey alfaz gonjh rahe the..
Gehra sans letey woh file band karta study table pe sey kitab utha' gaya ..warq pal'at'ey uskey hath munjamind huwey the joh uski tasveer' wahan kitab k warqo'n k darmiyan dekhi thi..
us tasveer pe hath pehrta' woh usey sochney laga tha..bohat arsey baad woh usey' pur sakoon huwa soch raha tha..wasey jasey pehley socha karta tha..
bohat dafa' socha' tha us ne uski yaad k qaid sy kudh ko azad' karney ka par woh soch kabhi uski chah't na baan payi thi.. uski bewafai pe bhi nai...woh bewafa thi kiya..?
woh hans sa gaya...us ne wada'eye wafa kiya hi kab tha.. joh woh usey' kasor war tehrata? ... Wadah'e'wafa toh woh ab karti thi us sey.. uska dil jasey' uski batamzi mun' path' biwi ki wakalat' karney laga tha..
Main Wali k is rishtey ko dil sy qabool kar chuki hon.. aur yeh rishta merey baba ne jora' tha..isey main martey dum tak nibhao'n gi..
Humara rishta pasand ka nai hai.. main toh us k begair rehney ka soch bhi nai sakti...Main toh kudh confuse hon apni feelings ko ley kar.. muhabbat ka koi test bhi toh nai hota k...foran pata chal jaye k yes hai ya no ... magar main itna janti hon.. wali k elawa meri zindagi koi dosra nai aye ga.. agar woh nai toh koi bhi nai.. main us sey ja k baat karon gi toh kia woh meri baat ka yakeen kar ley ga? ..sab koshishein bekaar hain...
Zarminey ko dhondhtey woh joh fara k kamrey' sey guzra' tha toh uski awaz uskey' per' rok gaye thi... aur ab woh alfaz' usey bistar pe karwat badalney pe majbor kar gaye the... woh jitni martaba bhi uskey pass aye humesha us rishtey ko kisi na kisi ki kuwish khushi sy jorti aye thi.. swaye apni..... Us ne kayi' saal intezar kia tha.. sirf uski chaht' marzi k lea.. aik dafa' us key dil sy har galat' fehmi ko door karney ki chaht' thi uski.. aur aj woh uski chaht' tha.. toh woh khawab sa lag raha tha.....
Duffer tmhey pata nai hai..lala tmsey muhabbat kartey hain...
...woh tmsey bohat muhabbat kartey hain...
Woh raat ko karwatein' badalti.. zarminey k khaye gaye jumley' yaad karney lagi thi.. aur sawal karney lagi thi kudh sey...
Main wali sy muhabbat karti hon? Wali mjhsey muhabbat karta hai?
Jab hum dosti kar lein gey..aik dosrey ko jaan lein gey..pechaan lein gey..smjh lein gey.. phir tmharey dil main jitni bhi galat fehmiyaan hain na merey barey main woh ahista ahista sab door ho jaein gi...
...Tm lala k kareeb janey ki koshish karo..unki care karo..phir dekhna lala ka dil kasey moum ho jaye ga...
Wali k kareeb janey ki koshish karon?
Woh lub kat' gaye thi us soch pe hi..
Woh mjhsey muhabbat karta tha ....par kiya woh ab bhi mjhsey muhabbat karta hai??? ...  woh mjhsey nafrat karta ho ga ab toh.. par agar nafrat karta hai toh woh mujh pe gusa hota ..insult karta meri jab main uskey pass gaye thi.. us ne toh aik lafz nai kha tha .....
Main tmhey yakeen dilata hon , fara... tmhari marzi k khilaf kuch bhi nai ho ga.. kuin k jinsey sath muhabbat hoti hai .. unkey sath zabrdasti nai ki ja sakti..
...han woh naraz zaror hain.. rejection aur batamizi ki waja sey unki ego bohat hurt hui hai..
woh mjhsey khafa hai kiya phir ???
agar khafa hai toh manao'n kasey??
Woh subha ka ujalah' dekhtey hi khirki main ja khari hui thi..madham si muskurhat liye..
"Behram, Shabrang ko tyar kar do.. Main thori dair main ridding k lea jaon ga.."
woh Wali ki awaz.. roz ki trah sunti muskura gayi...wahan' rehtey woh uski haar adat' sy wakif joh ho chuki thi..
Woh shawl orhey' kamrey sy bahir nikli thi.. kitchen k darwazey main hi khari thi jab us ne wali ko fridge sy jug nikaltey dekha tha.. woh muskurai si thi.. aur agey barh gaye..
fridge band karta hi woh mura' tha ....toh uski nazar' darwazey' pe ja tiki thi... woh qamo'n ki madham chaap' pe muskura gaya tha..woh wakif nai tha kiya...k woh lemonade kis ne bana k rakha tha??
Woh serhiyaan' utarata' joh glass thamey' aya tha toh usey' apni maksos jagah pe chel' qadmi kartey dekha tha.. shawal orh'ey toh woh glass lub sy laga gaya tha ... serhiyo'n sy tek' lagaye.. nazar us pe tikaye..
apni shocho'n main gum' usey' jasey uski nazar ka eshas huwa tha..toh woh nazar idhar udhar karti ..akhir kar us pe ja tiki' thi.
Uskey dil ki dharkhan thami si thi.. woh humesha usey' anzar andaz kartey wahan sey chala jata tha..toh phir aj..? woh uska banaya huwa lemonade pe raha tha?
"Chotey' Khan .... apka ghora.."
Behram ki awaz pe woh jasey chonka sa tha...glass khali karta woh behram ko pakra gaya tha.. shabrang ki lagam tahmtey..
woh apney gird' grift barha' gaye thi joh agley lamhey' us ney usey' us ghorey' pe sawar huwey haveli sy jatey huwey dekha tha.. woh gehra sans leti nazrein jhuka gaye thi.. qadam' barhaye...
woh kamosh ..woh sakoon.. wahan uski tanhai' main bhi woh shamil thi.. woh cha' k bhi frar nai paa sakta' tha.. uski kamosh nazro'n ka takna..
woh gehra' sans leti' us darkhat' k girey' huwey taney' pe beth gaye thi..
madham sa muskurai thi..
Jahan mera dil karye ga jaon gi.. aur joh mera dil karye ga woh pehnon gi.. Hato' yahan sey..
Kudh ko us safeed kurta trouser aur us black shawl main dekh k woh muskurai si thi..
Ab mera dil sirf tmharey pass rehney ko karta hai,Wali..Aur sirf tmhari pasand main dhalney' ki chaht rakhta hai mera dil ab..
Dubara tmhey fazool libass main na dekhon aur..Duppata lia karo.. NAHN loon gi..
Woh muskuraya tha madham sa..
woh shawl jasey' uski shaskiyat' ka khasa' baan rahi thi....uski pasand main rangtey' usey dekh k woh kush kasey na hota...
Tumblr media
Bara shoq hai tmhey .. meri aur merey ghar walo'n ki nazar main apney lea muhabbat dekhney ka..
main tmharey sath contract main hon iska yeh matlab nai k joh tmharey mun main aye ga bak' do gey..
Woh nashta' banatey banatey uskey jumley ki bazgusht sunai deney lagi thi ..  
Woh gehra sans leti apney baal apney chehrey' sy hata' gaye thi.. woh french toast pal'at'tey...
kin kin jumlo'n k lea woh maff karye ga usey?? kon kon si batamizi woh bhulaye ga uski??
woh dhundula sa huwa tha manzar uskey' lea..
"Fara, nashta agah jaaan k kamrey main..."
woh joh office k lea tyar honey janey sy pehley kitchen main aya tha.. toh uskey chehrey' ko ansu' main behga' dekha tha..
"Main bus la rahi hon nashta.."
Woh foran boli thi nazrein' jhukaye....french toasts plate main nikaltey..
woh do ghari ruka tha usey' dekhtey.. woh kehna chahta tha kuch..
par woh kamosh hi raha tha.. aur wapis qadam palat' gaya tha..
"Wali.."
Woh usey beikhtyar pukar gaye thi toh woh chonka sa ruka tha...
woh joh ruka mura tha.. toh woh kamosh hui thi..
"tm nashtey main..."
woh uski pasand poch rahi thi?
woh french toast ko ek nazar dekh gaya tha.. aur muskuraya tha madham sa..
"joh bana rahi ho wohi kar lon ga... "
fara ne nazrein jhukayein thi.. kia soch k pocha tha us ne? woh uskey hath ka bana huwa nashta' hi kar leta' hai.. wohi kafi tha..
"aenda nashta bananey' sey pehley poch lia karna meri pasand .."
Woh heran hui nazar uthai dekhney lagi thi joh usey' apni traf dekhtey paya tha..aur agley pal woh wahan sey ja chuka tha..
aenda nashta bananey' sey pehley poch lia karna meri pasand..
Woh jumla'h jasey har dosrey' jhumley' pe bhari' tha..uskey chehrey' sy muskurhat jasey chupi na chup saki thi..
"Aj toh doctor sahiba apka mood bohat acha lag raha hai.."
Agah jaan ki awaz pe us ne sar uthaya tha joh woh unkey lea nashtey k plate bana rahi thi..woh muskurayi thi..
"ji agah jaan.... aj ap apni fara ki pasand ka nashta karein gey ...."
woh kush si hui unhey bataney lagi thi.. aur tabhi wali office k lea tyar huwa aya tha.. toh fara kamosh hoi thi..nazrein jhukaye...
"Ao Khanzada wali.. Aj Fara''s Special Breakfast karo.."
Fara muskurai thi madham sa.. plate wali ki traf barhatey..joh wali ne thami thi..us ek lamhy' k bai's .. uskey lams ka ehsas.. usey' apney ap mein semetney pe majbor kar gaya tha..
"Agah Jaan, main aj islamabad ja raha hon..toh shayd' raat main wapsi mumkin na ho sakey.."
Apni plate pe jhukey' us ne usey' kehta suna tha..toh uskey chehrey ki muskurhat aur khushi pekhi' hui thi...
uski garmjoshi main kami woh wazeh' tor pe mehsos kar gaya tha..jab sy us ne islamabad janey' ka kha tha..woh pehli baar nai ja raha tha..pichley mahiney' main kaye dafa' usey' jana para tha...
"fara bibi.. chotey' khan keh gaye the.. k unkey lea lunch na behjwaya jaye aj.."
Fara ne sar han main hilaya tha... apney kamrey main atey' .. ..
woh nai tha..toh us haveli main uska dil nai lag raha tha ... us ne zarminey ko phone kar k bulaney ka socha tha...par phir us soch ko bhi janey' dia tha..
Woh dhoper toh jasey' kat'i us ney.. kamrey' sey niklatey' .. us akleey pan sy ajiz..woh agah jaan k kamrey' ki traf barhney lagi thi..
"Wali ko kuin jana tha? woh na jata aj.."
Woh sochtey' kamrey main qadam rakh gaye thi..aur tabhi woh munjamind hui thi apni jagah pe aur phir wakif hui thi apney ap sey..woh uskey kamrey' main thi? woh ankhein behnjh gaye thi.. uskey janey' ki sirf aik yahi wahid kushi usey' milti thi...uskey kamrey' main soney' ki.. uskey bistar pe..uskey sarhaney' pe sar rakh k..uska lehaf' orhey' uski biwi ki hasiyat sy soney ki khuwish joh puri ho jati thi.. us sey na sahi .. uski chezo'n sy taluq hi sahi .... magar kitney din aur?
Woh roney' lagi thi uskey bistar pe beth'tey... us calender ko dekhtey'.... sirf kuch din aur.. phir woh us sey har taluq khatam kar dey ga?
"Behram , yeh file wgara study room main rakh dena..main subha dekh lon ga.."
Raat k dahye' bajey' woh haveli pohancha tha...subha uska utra' chehra dekh k woh reh na paya tha.....is lea woh wapis a gaya tha usi raat..
Ankhein malta.. bazu' pe woh blazer dala..kamrey main dakhil hua tha....toh woh thatk'a tha... us manos sey ehsas pe... uski wahan' majodgi pe.. nazar uthaye' us ne dekha tha...toh usey' pur sakoon apney bistar main lehaf' orhey..sotey' dekh k ..woh lub kat' gaya tha.... woh wakif tha uskey' us haq jamaney' ki adat' sy ...par us ne y'un bhi tawaqa nai ki thi....k woh kabhi kudh us pal ko jee' paye ga..kayi' lamhey' usey' y'unhi tak'ney k baad..woh madham sa muskurata' betha' tha dewar k sath pari' kursi' pe.. woh jot'ey utar'ta' bhi bus usey' hi dekh raha tha.. uski masomiyat pe woh fida' honey laga tha aik baar phir.. aj usey' waqai aik baar phir muhabbat ho gaye thi us sey.... us ney wafa'e ehad joh nibhaya tha.. woh uski hai.. us ne bina kisi alfaz ..bina kisi saboot..k saibt kar dia tha.. is ek lamhy' k katir woh waqai us ki har khata' har galti ko maff kar gaya tha.. apni har zidd' akar ko woh qurbaan kar gaya tha.. usey' uska izhar e muhabbat bhi ab jasey faqt dastor'e muhabbat ki hasiyat ikhtyar kar gaya tha..
Woh safeed' kurta salwar pehney wapis aya tha.. toh woh dewar sy laga' seney pe hath bandh gaya tha..
is kashmakash main k woh usey' soney dey ya jaga' kar usey uskey' har jurm sy agahi' dilaye? Us sey apney ishq ki dastaan sunaye' ya usey' uska qalb e sakoon chen' leney pe mujrim tehraye' saza sunaye?
Tumblr media
Subha uski ankh khuli thi..toh nazar ghari pe gaye the.. 9 bajtey dekh k woh foran uthi thi..woh uska lehaf' teh' karti.. uskey bistar ki chadar' tekh kar gaye thi..sarhana sahi karti...woh mutamin hona chahi' thi k woh sab kuch wesa hi tha jasey' pehley tha.. par na janey' kuin uska dil usey' kis tor pur sakoon na honey dey raha tha..
woh kudh sey ajiz.. woh uskey kamrey' ko ek akhri hasrat' bhari nigah sey dekhtey' bahir qadam rakh gaye thi.. apney kamrey ki traf woh fresh honey' k garz sy chal di thi..
"Wasey toh fara jaldi uth jati hai aj pata nai kuin dair ho gaye.."
Agah Jaan ki awaz pe woh muktasir sa muskurati andar dakhil hui thi..
"A jaye gi , Agah Jaan.. Mohtarma , gehri nend soyi' hon gi.."
Woh us jumley pe ankhein pharey' dekhney lagi thi samney.. muthi behnjtey'.. woh wali samney unkey pass kursi pe betha' unhey nashta' kara raha tha..
Wali? Wali kab aya ??
hazaar'on sawal uskey zehan' main gardish karney lagey the...apni rooh' apney wajood sy fana' hoti mehsos hui thi....dil ki dharkhan ajeeb raftar sy chal rahi thi..rago'n main dorta' khoon kushk huwa tha ...toh uskey chehrey' ka har rang urta nazar aa raha tha...
"Fara beta.. a gaye tm .. ao.. lo aj khanzada wali ne nashta banaya hai.. "
Fara wali sy nazrein churaye.. apna wajood ghaset'ey unkey pass ja bethi thi..bed k ek koney pe..
"Subha ba khair, Agah jaan.."
woh jitni dair bethi thi sar jhukaye hi rakha tha.. Woh wakif the uski nazro'n ka markaz bananey' pe..
"Agah jaan , aj main soch raha hon.. office janey' k bajaye zameno'n ka kaam nibta loon.. samandar khan ne bhi ana tha.."
wali k inkashaf uski dharkho'n k ruk janey' ka bais bana tha.. woh sara din uska samna kasey karye gi? aur woh kab aya tha? subha ya raat ko hi?
ab toh koi rah'e frar mumkin nai thi.. woh kasey' koi safai' dey paye gi ab??woh kia soch raha ho ga uskey barey main??
woh sab sawal uskey osaan' khata karney k lea toh kafi hi the.. par kudh ko us ki nazar ki tawajah' ban jana usey' aur bhi ghabrhat' aur pasahemani k samndar main dahkail raha tha..
"Wali.."
woh uski awaz uskey qadam rok gaye thi.. .
"behram tm samndar khan ko bulao' main ata hon study main.."
woh behram ko bolta mura' tha toh samney hath masaltey' fara khari thi.. woh madham sa muskuraya tha uski gabrhat pe..uski soch k en' mutabiq woh kudh aye thi..
"wali mjhey tmsey kuch baat karni thi.."
woh madham awaz main kehney lagi thi..
"Bolo kia kehna hai?"
woh usey' dekhtey bola tha..toh woh uskey andaz pe ghabrahi thi..woh kab usey' y'un takn'ey ka shoq rakhney laga tha? woh baal' kaan k pichey tikatey' akhir kar alfaaz talashney lagi thi..
"woh..kal..tm ne kha tha na ...tm wapis nai a sako gey..toh..woh main ...I'm sorry.."
woh tab tak yahi soch k aye thi woh usey' jhot keh dey gi .. k woh agah' jaan ki fikar main uskey kamrye main soyi thi.. magar ab uskey samney kharey huwey..woh wakif hui thi.. us sey' humesha jhot bolti ayi thi... par ab nai... toh faqt' us sey aik baar phir mafi' hi mang leney pe us ne iktafa' kiya...
"sorry kis baat k lea , fara?"
Woh anjaan bana tha jasey.. fara joh us key us andaz ki tawaqa nai kar rahi thi..usey' herat sy dekhney lagi thi...
"woh..woh.."
jasey alfaz ki kami hui thi..
"kuch nai..mjhey agah jaan bula rahe hon gey.."
Woh foran muri thi ..aur woh hath rakhey' usey' muskurata wahan' sy jata dekhney laga tha.. woh hansa tha uskey chaley' janey pe..
Pagal..
woh sar hilata'...agey barh gaya tha...
"fara , kia huwa hai jab sey aye hon tm asey hi kamosh kamosh ho?"
Zarminey joh milney' k garz sy aye thi...pareshan si hui thi.. Fara jasey' khayalat' ki dunia sy jagi thi.
"nai koi baat nai hai...tm batao kasa raha tmhara ebaad k sath murree ka trip.."
woh uski tawaja apney sey hata'ney main kamyab hui thi joh woh pur josh huwey' bataney lagi thi..woh kuch din pehley hi toh wapis aye thi..
"wow bhabhi gajar ka halwa banaya hai ap ne.."
Raat k khaney pe ebaad ne garm joshi sy bola tha.. toh fara muskurai si thi...kan ankheiyo'n sy wali' ki traf dekhtey....us ne wali ki traf jis k chehrey pe bhuiley' sy bhi koi khushi ka ehsas nai dikha tha..
"Main abhi ata hon.."
Woh phone bajney' joh foran phone utha'ta chala gaya tha..joh payali main us ne uskey lea gajar ka halwa dala tha woh uskey hath main hi reh gayi thi.. woh gehra sans letey wapis bethi thi...us gajar k halwey' ko tak'tey...
woh wapis aya tha tab bhi us ne halwa nai khaya tha..balkey' ebaad ko apney sath aney ka kehta mur gaya tha....
"Tm mjhsey rishta nibhaney ki baat kar k phir ek dafa galti kar rahi ho , fara...tm humesha humarey rishtey ko agah jaan sey jortey aye ho..galti karti aye ho.. tm ne uska yeh matlab kuin nikala k tm ne agah jaan ko apna lia toh mjhey bhi apnana parye ga?... tmhey yeh kuin lagta hai k tmhey merey sath rishta nibha kar qeemat chukani parye gi..Yeh toh bohat unfair ho ga k tm apni galtiyo'n ka azala karney k lea us rishtey ko nibhao'n jusey tm ne kabhi dil sey qabool nai kiya? Lakin tmhey yeh kuin lagta hai k tm sey yeh qurabni li jaye gi k tmhey mjhey apney shohar ki hasiyat sy qabool karo..Mera humesha sey yeh manana raha hai fara..k joh do log aik dosrey ko chahtey hain..wohi ek dosrey k sath rahein.."
Woh terrace main khari thi uskey alfaz  yaad kartey...jahan us ne usey har alfaz main yahi ba'awar karaya tha.. k woh apney lafzo'n sy mukarney wala nai hai....main usey' kasey bataon k sirf wohi mjhey qabool hai..? ....woh kuin nai smjhta k mein us sey rishta apni chah't sy jorna chahti hon.... woh mera sab kuch hai..
woh hatho'n main sar pakrey zar o qatar ro rahi thi..jab aag' sektey' us ne usey' dekha tha.. woh sar hila gaya tha gehra sans letey.. woh shayd' sans leney sey bhi zyada roti thi..
"Mjhey wali sey divorce nai chahye'... main usey' kasey smjhaon?"
woh rotey' rotey' kudh kalam hui thi..
"Tmhey wali sey divorce kuin nai chahye, Fara wali khan?"
Woh us awaz pe foran sar utha' gaye thi ..herat k marye'... usey' samney gajar ka halwa khatey dekha tha ...apney sath bethtey...
"Wali.."
kayi lamho'n baad woh boli thi.. toh wali madham sa muskuraya tha.. uski beyakeni pe..
"halwa acha bana huwa hai.."
woh kamosh hui.. kudh main simti' thi ansu khushk kartey..
"tm ne jawab nai dia , fara.. kia smjhana chahti ho tm mjhey? kuin karti ho yeh sab kuch tm? kis k lea karti ho?"
Wali...woh khali pyali' rakhta side pe ab uski traf mutwaja huwa tha.. toh woh usey' kamosh hui tak' rahi thi..uskey sawalo'n ka woh kiya jawab deti?
"chalo mjhey sirf is baat ka jawab dey do.. k kis haq sey merey kamrey main soti ho tm..konsey rishtey sey tm mujh par ...meri chezo'n pe haq jatati ho..?"
uskey sawal pe uski ankho'n main ansu terney lagey the.. woh us k lehjey' pe khaif hui thi..uskey sawal pe usey' gusa sa aya tha..
"jis haq sey tm mjhey zabrdasti mama k ghar sey laye the....jis rishtey ka hawala deye' nai thaktey the tum..."
ankhein' saf karti woh wahan' sey uth gaye thi..wahan' bethney' ka jawaz joh na raha tha.. woh us sey har sawal karta par yeh sawal kuin kia us ne?
aur tabhi apni kalai' pe us ne grift mehsos ki thi..toh uska sans thama tha..
"toh kiya usi haq sey...usi rishtey' k bais'...tmhey rok sakta hon?"
Woh sawal aur uskey hath ki grift usey' wapi qadam uthaney pe majbor karti ..bethney' k kail kar gayi thi..is baar..unkey darmiyan fasla mamoli sa tha.. us ne jawab nai dia tha..uski traf dekha nai tha.. woh toh jasey' kisi khawab sey jagi thi..woh haqeqat thi..wali suhaib khan k pass thi woh....
mera tmsey koi rishta nai k main tmsey laron gi.. main larti sirf unsey hon jin sey mera rishta hota hai..
"mjhsey lar k ja rahi ho..?"
uskey sawal pe woh chehra' morey' uski traf dekhney k kail hui thi.. woh bhi usey' hi dekh raha tha..
"Tm ne kha tha tm unsey larti ho jinsey rishta hota hai tmhara...Zehar lagta hon main abhi bhi tmhey?"
uski ankhein behgi thi par madham muskurhat bhi uskey chehrey pe....sar na main hilatey...
"tmhey main laraka larki karwi karwi baatein karney k bawajood achi lagti hon abhi bhi ?"
woh hans gaya tha beikhtyaar aur sar han main hila gaya tha..
"bohat.."
uska muktasir jawab.. usey' nazar jhukaney pe majbor kar gaya tha.. woh kamosh huwa' usey' y'un sharmatey dekh k muskura gaya tha.. kuch lamho'n baad joh woh hansney lagi thi toh woh kuch na smjhta huwa us sey poch gaya tha..
"hans kuin rahi ho?"
fara ko jasey ehsas sa huwa tha.. woh smbhaltey uski traf muri..
"tmhari rude aur batamiz larki ki opinion tmharey barey main badal gaye hai..usey' pata chal gaya hai k wali is dunia ka sab sey acha larka hai.."
woh uski kahi hui baat joh y'un dohraha gaye thi..toh woh apni hi bachgana baat yaaad kar k hans gaya tha..
"aur usey' tmhari dosti bhi qabool hai..aur tmsey rishta bhi.."
uskey alafaz usey' kamosh kara gaye the..aur usey' uski ankhon main jhakney pe uskey alfaz ki sachai..jhalkti nazar aye thi..
apni bewakof,laraka ,batamiz aur jaldbaz biwi ka dil akhir kar woh jeet' hi gaya tha..
Tumblr media
woh nazar hata' gayi thi uski apney pe munjamind nazar dekh k...woh gehra sans letey baal hata'ney k lea joh hath utha'aney lagi toh wakif hui thi uski apni kalai' pe grift sy..woh tab sey thamey huwa tha..? woh us sey ek nazar dekhtey..woh nazar' chura gayi thi..muthi kholtey... aur tabhi..uski kalai' ki grift dehli pari thi..aur phir uski ungliyan' sirkein thein..uski hatheli'...sy..uski ungliyo'n k darmiyan fasley' ko pur kartey..woh uska hath joh tham gaya tha..toh kayi' lamhey lagey the usey...aur phir uski ungliyo'n ke ehsas..pe wali muskura gaya tha..
"wasey tmhari tareef karon ga toh gusa ya laro gi toh nai ? "
uskey sawal pe woh lub kat gayi thi..madham muskurhat k sath....
"achi lag rahi ho nek parveen' shareef bani.. aur tmhari kenchi ki trah chalti hui zuban' pe bhi toh talah' laga huwa hai.. "
"Waliii.."
woh madham sa minminayi thi ..toh woh hansta uska thama hath apney kareb kar gaya tha..aur woh uskey kareb jhukney' pe majbor si hui thi..joh uska dosra' hath uskey hath ko suhlaney laga tha..
"itney boring aur sober color pehnaney lagi ho.."
"tmhey bright color pasand hain?"
woh foran bol gayi thi...toh woh muskura gaya tha..
"tm mjhey har rang main pasand ho.."
uskey jawab pe woh muskurayi thi nazar jhuka kar...
uskey hatho'n main thamaye hath..uskey anghotey' ka suhlana...woh kamoshi..hawa main khanki ka barhna.. uski nazar k markaz baney'... woh kuch bhi kehney sey kasir thi..aur tabhi qadmo'n ki awaz pe woh hath chura gayi thi..harbarai si..toh woh muskuraya tha..madham sa..usey khass farq nai para tha ...
"woh Fara bibi..apka mobile apkey kamrey main baj raha tha..."
zar gul joh uska bajta phone thamye' aye thi fara hath barhat'ey tham gayi thi..sar ko janbish dea usey' janey ka kehtey..aur tabhi woh phone dubara bajney laga tha..
Moez ka naam parhtey..us ne lub katey' the..woh wakif nai thi kiya wali ki napasandedgi sy? phone kat'tey us ne phone silent pe kiya tha..
"i'm sorry."
Woh bus ek wohi alfaz ada' kar payi thi..wali ki traf murtey.. aur uskey chehrey' k zaviyo'n sy andaza lagana mushkil sa huwa tha toh woh nazar chura gaye thi...
"main ne tmsey aik jhot bola tha , fara"
Wali ne joh kha toh fara usey' dekhney lagi..
"Jhot?kaisa jhot?"
woh ajeeb kasmakash main ghiri thi..
"yahi k mjhey tmharey beloved dear czn sey koi personal grudge nai hai.. uski tmsey betukalfi aur tmhari zindagi main zarorat sy zyada interference pe mera khoon kholta tha .. tm usey personal grudge kaho ya jealousy..par sach baat yahi hai tm pe koi apna haq jataye mjhey pasand nai hai.."
woh pehli baar saf' saf' alfaz main us sey sachai byaan kar raha tha..woh cha' k bhi kudh ko baruzaman' nai kar sakti thi apney us jurm sey..
"Wali, mera yakeen karo.. moez sy koi rishta na tha..na hai..woh.."
wali uska hath thamta' duba gaya tha..
"main tmhara yakeen karta hon , fara ... "
woh kuch keh patey aik dosrey sey jab gul khan aya tha..
"fara bibi chotey' khan ... woh moez shahb aein hain.."
wali aur fara dono k mathey pe lakerien ubharein thein..gul khan toh chala gaya ..aur tabhi fara ne apney phone ki traf dekha tha..message open kartey..
"Fara, main tmhey leney aya hon...phuphu ki tabiet nai tekh , fara.."
Fara ne wali ki traf dekha tha...joh woh message uskey sath parh chuka tha..
"Chalo.."
woh uska hath pakrta bola tha..toh fara kamosh hui uskey pechey chalney lagi thi...
"Tayi ami ko phone karo.."
"mama mera phone nai uthati.."
Woh boli thi bhuji awaz main ...toh woh ruka tha pal barh k lea..
"apney mamo mami k phone pe try karo..ghar k number pe..kisi bhi.."
woh sar hila gayi thi uskey kehney pe .. fara ki grfit apney hath pe barhti payi mehsos ki thi toh us ne fara ki traf dekha tha..jiskey chehrey ka rang pela para tha....
"pareshan mat ho , fara.. tayi ami bilkul tekh ho gein..trust me?"
woh uska hath thamtey' bola tha.. toh woh usey' dekhney lagi thi..aur pal barh main hi jasey woh pur sakoon hui thi..sar han main hilatey us ne phone kaan sey lagaya tha..
"Fara.."
Wali usey pukar gaya tha.. joh uskey chehrey sy girtey' ansu dekhey the..toh fara foran apney ansu saf kar gayi thi..
"main tekh hon.....phone kar rahi hon.."
woh boli thi toh woh kamosh ho gaya tha..
"Faraa.."
woh gate khultey hi joh bola tha toh samney wali ko fara k sath dekh k uskey osan yakenan khata huwey the..
"mama ko kia huwa hai , moez?"
fara foran boli thi..wali k hath pe apni grift barhatey...
"woh..woh tayi ami..."
uski zuban buri trah larkhari thi joh wali ko apni traf ghortey dekha tha..
"phone nai utha raha koi.."
fara boli thi wali ko phone hath main pakrey..
"fara ki tayi ami sey baaat karao , Moez.."
Wali ki awaz pe yakenan uskey pero'n sy zameen sirak gayi thi..
"woh..baat..nai kar sakti.."
"kia huwa hai mama ko moez bolein na.."
fara roney lagi thi ab...
"unhey brain hemorrhage huwa hai..woh hospitalized hain.."
moez bola tha..nazrein churatey..toh lamhey barh k lea wali bhi munjamind sa huwa tha..
"Wali.. .."
fara shocked hui aik qadam pechey hata' gaye thi.. wali ko pukartey..us sey takrayi.. thi.. uski traf murtey' sar na main hilatey.. jasey woh yakeen nai karna chahti thi..
aur tabhi uska phone baja tha..toh wali aur fara dono ki nazrein uskey phone pe parein thein.. aur fara foran utha gaye thi..
"Fara.."
"Mama.. mama ap tekh ho na? ap pareshan mat ho..main bus abhi wali sy poch k aa rahi.."
Fara wali k bazu pe hath rakhtey' muri thi.. dur hotey ...woh sirkta uskey hath pe ja tika tha..aur wali uska hath tham gaya tha..
"nai fara tm moez k sath bilkul mat ana..main bilkul tekh hon.."
"tm ne kha tha tayi ami baat nai kar saktein?"
wali ne moez sy sawal kiya tha..woh speaker sy sun chuka tha...woh yakeen toh mar k bhi nai kar sakta' tha samney waley shaks pe....
"unhey hosh a gaya ho ga.."
"andar ja k aram sy tayi ami sey baat karo.."
wali ne fara ko sargoshi main kha tha.. toh fara usey' dekhney lagi thi..aik nazar us ne moez pe dali thi...na main sar hilaney ka jawaz toh tha nahn...woh agey barh gaye thi..wasey bhi woh mama sy tasali sy baat karna chahti thi..
"main..chalta hon.."
Moez foran per' peche kar gaya tha..
"kuin? tm fara ko nai leney aye the.."
Wali ne gehra sans letey seney pe hath bandhey' uski gari' sy tek' lagatey kha tha.
"Woh meri biwi hai Fara Wali Khan, Moez Tajamul ... tmsey uska koi aesa taluq nai hai k tm us pe haq jatatey' phiro'.. akhri baar fara yakenan tmhey saf' alfaz main bata chuki hai... aur aik baat aur...  "
woh hath kholta' agey baraha tha..
"aenda kabhi meri biwi sy mazak main bhi jhoot bolney sey pehley yeh baat lazmi' yaad rakhna k..main apney alfaz sey phirney wala shaks nai ho.. main tmharey seneye main apney revolver k 6 ki 6 goliyan' utaraney ki baat kar sakta hon toh us pe amal karney ki himmat aur iradah' dono  rakhta hon.. aenda yahan aney' ki zehmat mat karna , Moez Tajamul .. "
Wali nagawari sy usey' dekhta sanjeda'h aur hatmi' andaz main unki zindagi k us baab ko bhi khatam kar gaya tha..
"Tm ne lazmi uskey sath zabrd..."
woh alfaz alfaz hi rahe thi..jab agley pal wali ne wapis murtey' uskey mu'n pe muka mara tha...uskey lub sy khoon rasney laga tha..
"Get Lost , Moez Tajamul... apni dono tango'n pe ja rahe ho zinda salamat isey mera ehsaan mano' warna tmharey tuk'rey kar k Sizer ko bhi na dalo'n main.. itni nafrat karta hon main tmsey.. Just leave ... is sey pehley k merey sabar ka paiman'a labrez ho..."
Wali agey barh gaya tha..
"Gul khan .. darwaza band karo aur aenda darwazey sy hi wapis behj dena smjhey?"
Wali ne ek akhri nazar dali thi moez pe joh gari mein beth'ta ab wapis ja raha tha..
Tumblr media
"Ruk kuin gaye ,fara ..anghoti pehno..tmhara dear czn itney pyaar sey pehna raha hai...Fara Wali KHan, dil toh mera yeh kar raha hai tmharey mu'n pe thapar mar k tmhey yahan sey ghaseta' sedha haveil ley jaon..aur wahn sey tm bahir qadam na nikal sako..meri biwi ho tm..merey nikkah main ho...agar main aesa karna chahon toh koi nai mjhey rok sakta.. lakin main aesa karon ga nahn...tm jasi larki joh merey nikkah main honey k bawajood kisi aur k hath sy anghoti' pehan rahi ho..woh meri nazaro'n main izzat aur muhabbat sab kho chuki hai.. utar gayi ho tm merey dil sey fara..meri nazro'n sy bohat nechey gir chuki ho tm.. jis larki ko kisi rishtey k tuqadas ka pass na ho usey' apni biwi bana k kabhi nai rakho ga..lakin main ne tmhey aur tmharey chahney' waley ko maza nai chukaya toh....mera naam bhi wali suhaib khan nai...na main tmhey talaq don ga na apni biwi banaon ga....mjhsey martey dum tak talaq nahn miley gi tmhey.."
"Faraa..Faraa.."
woh wapis aya tha.. uskey pass betha tha toh usey' khahein aur gum thi.. us ne uskey khandhy' pe hath rakha tha..aur usey dubara pukara tha..muztarib huwey..
"Fara.."
fara chonki thi.. aur gehra sans lia tha..
"Tayi ami tekh hai na? tm ne baat ki?"
fara ne sar han main hilaya tha..
"toh phir kia huwa?"
Woh smjh na paya tha uski kamoshi ..aur uski nazar..kudh pe..
"Meri aik baat ka yakeen karo gey , Wali?"
woh uskey hath pe hath rakhtey boli toh woh muskura gaya uska hath thamtey..
" Fara , main tmhara yakeen karta hon.."
"I'm sorry.."
"Fara.."
Wali smjh na saka tha..
"mjhey kehney do , Wali.. jab sy humara nikkah huwa tha, Wali.. toh mein sirf tmsey nijaat chahti thi.. aur yeh sarey' chaar saal main ne is k elawa kuch nai socha iskey elawa kisi chez ki chaht ni ki ,Wali.. na tmharey barey main na kisi aur k barey main.. main ne kabhi na woh anghoti pehni hai na kisi aur ki di hui , Wali.. legal notice main main ne kabhi jaedad ka mutalabah' nai kia tha..na koi aur baat merey kahye pe likhwaye gaye thi , Wali.. tm jantey ho us k baad baba merey khawab main sarey' chaar saaal main pehli baar aye the.. aur phir bhi mu'n mora' huwa tha unho ne mjhsey , Wali.. tab hi mein jaan gayi thi k woh mjhsey khafa hain merey us faisley pe.. aur pata hai jab tm mjhey leney aye the toh us sey dus din pehley hi mama mjhey chorh k chali gayein thein kuin k mein ne unki baat mananey sey inkar kar dia tha... Wali mein ne kabhi humarey rishtey ko smjhney ki koshish hi nai ki..usko mana' hi nahn k main tmhey smjhney ki koshish karti..tmhey jananey ki chaht karti.. Main apni har galti tasleem karti hon , Wali.. bus sirf is baat pe yakeen kar lo.. agar kal ko main tmhey nai manti thi..toh koi aur bhi merey dil main nai tha.. aur agar aj merey dil main koi hai toh woh koi aur nahn sirf tm ho.. Wali, sirf aik moqa dey do mjhey..mein tmhari nazro'n main apna muqam wapis hasil karna chahti ...izzat aur muhabbat dono.. mein tmharey dil sey kabhi nahn utarna chahti,Wali...mjhey humarey rishtey k taqadus ka pass hai ab, Wali.. mjhey tmsey kabhi talaq nahn chahye..mjhey tmhari biwi banana hai , Wali.. humesaha k lea.. sirf tmhari.."
woh kamosh usey' tak' raha tha joh usey hath thamey' sab kuch keh gaye thi..aur uskey pass alfaz nai bachey the.. woh uskey hatho' pe hath rakh gaya tha.. nazar jhukaye..un hatho'n main thamey' hatho'n ko tak'tey..
"janti ho sarey' chaar mahiney pehley mjhey yakeen honey laga tha k humarey darmiyan woh naam ka ek rishta' bhi nai rahe ga ab.. main ne tmhey paney' sey pehley hi kho dia tha.. mein bohat gusa tha..bohat khafa tha tm sey...par is lea nai k tmhey main qabool nai ho....mjhey zyada dukh islea tha k main humarey darmiyan k fasley ko kum karney main nakam ho gaya tha..aur tm ne mjhey itna bhi qabil'e etbar nai smjha tha k tm mjhsey kehti k tmhey talaq chahye...jab main ne tmhey humesha kha tha k tmhari marzi k begair kabhi kuch nai ho ga... "
fara k ansu us k hatho'n pe girey the toh woh chonkta' sar utha' gaya tha.. aur agley lamhey uskey chehra thamey' uskey ansu khushk karney laga tha..apney gaal'on pe uskey ungliyo'n ko suhlatey mehsos karney pe woh nazar us ne jhukai thi..
"Janti ho ,Fara ... main ne tmsey muhabbat ki hai ,fara.. humesha sey.. dus saal ki umer sy..jab baba jaan ne mjhey tmharey tasveer dikhaye the aur kha tha.. k fara wali ki dulhan hai.. merey baba jaan akhri dafa' jab barey baba sy mil k aye the..toh unho ne mjhey kha tha k woh chahtey hain k mera aur tmhara rishta teh' ho jata .. kuin k unko lagta tha humara rishta un sab tote'y huwey rishto'n ko dubara jor dey ga.. ..barey baba ne jab mjhsey pocha tha na..toh merey pass shayd inkar ka koi jawaz hota tab bhi inkar na karta main ... kuin k fara mera dil sirf tmharey naam pe dharkhna janta tha ...  "
woh usey' tak' rahi thi jasey pehli baar dekh rahi ho...usey' guzra' har pal yaad aney laga tha jab jab us ney uskey sath batamizi ki thi.. unkey darmiyan kaem rishtey' k taqadus ko pamaal kia tha.. aur sab sey zyada us shaks ko dukh dia tha jis ne humesha us sey muhabbat ki thi??
woh uska bazu thamey.. uskey khandhey pe sar rahk gayi thi....aur uskey hath main hath deye'...uski ungliyo'n k darmiyan fasley' ko apni ungliyo'n sy pur' kar gaye thi.. ankhein band kea..jasey usey' khof tha..k woh khawab dekh rahi thi..aur woh ankh kholey gi thi toh phir kudh ko un sarey' chaar salo'n ki trah sehra' ki tapti' raet' pe muhabbat ki chahat main kudh ko tanha' paye gi..
"aik baat pochon ,fara?"
Us ne akhir kar kamoshi tori thi.. toh fara ne ankhein kholtey sar han main hilaya tha...
"han pocho.."
"meri barey main baatein sun k tmhara damag pakta' tha..toh meri baatein sun k toh ab tmharey kaan toh nai pak gaye? "
woh usey madham muskurhat k sath sharat bharey lehjey main bola tha..toh woh sharminda si hansi thi..
"nai...bilkul nai...tm mjhsey baat karo...main har pal yehi khuwish karney lagi thi.. jantey ho.. jab sy main tmsey.."
woh bolti bolti ruki si thi .. aur wali usey' dekhta kamosh huwa..tha..uskey chehrey' pe muskurhat' ayaan' hui thi..joh woh nazrein churatey..us sey hath churaney lagi thi..magar wali k grift usey' munjamind kar gaye thi..
"Jab sey kiya tm mjhsey, fara? "
woh usey apney aur kareb joh kench gaya tha.. toh woh usey dekhtey kamosh si hui thi.. woh sach kehna shayd' sab sey mushkil lag raha tha..
" tm jantey ho,Wali.."
Wali k chehrey pe muskurhat joh gehri hui thi to fara bhi nazrein jhukaye muskurai thi..
"Apsey izhar'e muhabbat fara wali khan sirf aik wajah' sy aj maff kar raha hon.."
wali k jawab pe woh muskurai thi.. par phir tjasus k marey woh poch hi gaye thi..Akhir kar Wali kisi baat ka pecha' chor dey mumkin nai tha..
"Konsi wajah ?"
Uskey sawal pe woh hansa tha.. uskey baal joh kaan k pichey tikaye the toh woh apney dil ki dharkhan k tez honey sey wakif hui thi..
"Yahi k meri biwi meri gair majodgi main purey haq k sath merey bistar pe soti' hai.."
uski apney kaan pe sargoshi aur uskey lubo'n k ehsas pe woh ankhein band kar gayi thi..
"bohat raat ho gayi hai,Wali ..mjhey soney jana chahye.."
Woh us sey hath churatey' agley lamhey' wahan sey chali gayi thi toh woh muskura gaya tha kudh sey..
"Shab bakhair ,Wali.."
Us ne uski awaz pe sar uthaya' tha toh usey darwazey pe khara muskuratey dekha tha toh woh bhi hans gaya tha sar ko janbish dea..
"Shab bakhair , Fara.."
"Mjhey tmhey apni biwi k roop main dekhney ka bohat shoq hai , Wali ki Dulhan Fara.."
woh alfaz uskey sath rahe the jab sey us ne kahey the..apni ungli' mein uski pehnai hui woh diamond ring.. dekh k woh muskurai thi..
"aur mjhey tmharey sath shadi karney ka bohat shoq hai.."
Woh kudh sy muskurai thi.. jheel k kinarey khari ..apni dunia main ghum...
"Janta hon.."
Uski awaz pe woh chonki thi.. apney pechey toh usey' hanstey' dekh k woh nazar chura' gaye thi.. joh  uskey pass khara ab batkho'n ko dana' khana dal raha tha..
"jummey ki tarekh rakhi hai.."
Woh uskey khandhey' sy khandhy jorta' uskey kaan main sargoshi kartey..
"humari shadi ki..koi aetraz toh nai hai?"
Woh madham sa muskurai thi sar na main hilatey..
"Mar k bhi nai.."
woh dono hansey' the.. aur fara ne uskey hath main pakrey' us pyalye main hath dalna cha tha toh wali door kar gaya tha..fara smjhi na thi..bhanwein uchkatey joh usey' dekha tha.. toh wali ne joh apni ankho'n ko jhapkaya tha apney agey ishara kartey toh fara lub kat gaye thi..aur kuch lamho'n baad woh aik do qadam barha gaye thi..aur woh pyaley main muthi bhar k woh nikalti' khana batkho'n ko dal gaye thi..joh usey' apney wajood' pe uskey sanson ka ehsas huwa tha toh woh sans rok gayi thi..
"mjhey bhi dil o jaan sey ap sey shadi karni hai , Fara Wali Khan.."
uski sargoshi pe woh usey' dekhti muskurai thi..
"tm ijazat ley k humarey kamrey main ao gey.."
woh sharer si muskurhat leye..woh payala pakrey usey boli thii..Uski baat pe woh beikhyatar hans gaya tha..apni muthi barhtey...
"Agar tm ijazat ley k humarey bistar pe so gi.."
fara k mathey pe lakerein ubhrein thein..
"tm merey shohar ho.."
Woh khafgi sy boli thi..
"Toh tm bhi toh meri biwi ho.."
woh bhi usi khafgi sy bola tha.. toh woh dono hi kamosh huwey..the...aur phir muskurhat lubo'n pe kehlney lagi thi..aik dosrey sey anjaan baney..
"tm lal rang ka jora' pehno gi?"
wali ki baat pe woh muskurai thi madham sa..
"Toh kiya tmhari trah sober aur boring rang ka jora' pehno' gi toh qabool karo gey?"
woh dono hansey the..madham sa..
"nahn ab aesa bhi nai hai..tm batamiz ziddi mun phatt thi tab bhi mjhey qabool thi.. dil o jaan sey.."
uski sargoshi pe woh muskurai thi..
"thi ka kiya matlab? main toh ab bhi batamiz hon..mun phatt bhi hon.. aur ziddi bhi bohat.."
woh joh payala woh hath main pakri hui thi uskey sar pe dalti woh khali usey' pakra gayi thi.. aur usey' wave karti woh wahan sey ultey' qadam uthahney lagi thi.. toh wali k chehrey ki muskurhat gehri hui thi...
"toh main bhi toh ab bhi jagerdar ka beta hon...ghorey doraney aur...apney dada ka paisa uraney main kafi masrof rehta hon..agar na dey paya tmhey waqt phir bhi qabool hon?.."
woh hansi thi.. sar han main hilatey..woh uski traf qadam barha gayi thi uskey hath main hath detey..
"Dil o Jaan sey qabool ho... tmharey naam sey jurey' rehna bhi kafi hai merey lea,Wali..."
woh muskurya tha .... uskey hath ko thamey..
"tm meri biwi ho , Fara Wali Khan.. merey waqt..meri chaht pe..aur mujh pe.. sirf tmhara haq hai..."
woh utni hi sachai' sy woh sach bol raha tha jitni sachai sey us ne humesha usey' cha' tha..woh uskey kareb hui the lamhey barh k lea beikhtyar uskey seney sy lagney k garz sy....aur phir wakif bhi hui thi..unki kurbat sy...joh woh dono nazrein' chura gaye the..
"Char din.."
woh sargoshi main boli thi toh wali muskuraya tha..
"han sirf char din.."
woh hansi thi.. aur phir woh us sey door hui thi.. jab tak woh uska hath tham saka tha thamey raha tha....usey' jata dekhty..
"tmharey baba jaan merey baba aj kush hon gey na , Wali?"
Woh lehnga choli' pehney.. dulhan k roop main saji sanwari..uskey samney uski dulhan baney' bethi us sey sawal kar rahe the.. usey' khawab ka guman' huwa tha..
"tm kush ho,Fara?"
jawab deney k bajaye...woh uska hath tahmey' sadah' sy andaz main us sey sawal kar gaya tha..toh fara usey' dekhney lagi thi.. aur sar han main hila gayi thi..
"Bohat.."
woh muskuraya tha..uski masomiyat pe...
"toh baba jaan barey baba bhi bohat kush hain.."
woh muskurayi thi.. aur phir uska hath thamtey' woh uskey kareb hui thi..
"aur tm , Wali?"
woh lub dant'on main dubaye' ankhein bari kea' usi' trah us sey sawal kar rahi thi jis trah us ne pehli baar us sey kia tha..
"Tmhey nai pata , Fara?"
woh uska hath thamey' apney dil pe rakh gaya tha...toh uskey dil ki dharkhan sunti woh madham sa sar jhukaye muskurai' thi shamratey..
"tmhara dil toh merey dil ki trah tez dharak raha hai.."
woh muskuraya tha...joh us ne uska hath wapis thamey' apney dil pe rakha tha.. aur bhanwein uchkaye thi..
"Bohat sabar ka imtehan le chuki ho tm , meri khandani mun' phat biwi sahiba.. "
woh muskurai thi ..uskey apney kareeb' jhukey wajood sy nazrein churatey..
"Fara Wali Khan Wali suhaib khan sy bohat muhabbat karti hai.. "
uski sargoshi pe woh kay'i lamhey' sakt' raha tha..us sey nazar milaney sey..
"Aur Wali Suhaib Khan Fara Wali Khan sy bohat muhabbat karta hai.. "
uska jawab uska chehrey' ki lali' barha' gaya tha.. joh woh uskey seney pe sar rakhtey uski' muhabbat k hisaar' main ehd'e wafa nibha gayi ...Bara shoq hai tmhey .. meri aur merey ghar walo'n ki nazar main apney lea muhabbat dekhney ka..
Tumblr media
1 note · View note
shilzzzmaybe · 2 years
Text
📌 diyar-e-dil photo dump pt. 2
Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media
1 note · View note
desirants · 7 years
Photo
Tumblr media
#AskObi Yes! Round Two of our DRNR Readers' Q n A session with @aclockworkobi Here's your chance to ask the ques you'd always wanted to ask of your fave celeb. Ask hat ke ques for even more hat ke jawab! Please post your ques on desirantsnraves.com (direct link in bio) Repost and tag fellow #Obi fans! #osmankhalidbutt #youaskheanswers #readersinterview #diyaredil #balumahi #parchi #aunnzara #janaan
0 notes
hikingandme · 8 years
Photo
Tumblr media
Crucial Info; In 2014, #MominaDuraid, senior producer of channel @humtvpakistanofficial chose #Khaplu #Palace for shooting of their TV Series, #DiyareDil 💟✨😁 Khaplu Palace was set as one of the Protagonist #AghaJan's (played by #AbidAli) #Haveli. Shooting started in late August 2014 and ended in April 2015. #travelbeautifulpakistan #etribune #dawndotcom #kmcps #hiking_instareesha (at Khaplu Palace)
0 notes
cinemallywood-blog · 8 years
Video
Diyar-e-Dil & Mann Mayal's Success Celebration👏👏👏💞💞💞😍😍 #mannmayal #diyaredil #success #haseebhassan @homannjahaan @mannmayal_world @mannmayal #mannmayal❤ #hamzaaliabbasi #pakistanidramas #pakdramas
0 notes
Text
We take prompts...for writing, for edits, VMs, pretty much anything. So hit us up if you need a scene re written, an AU explored, or you just want to satisfy that OsMaya crave...WE ARE YOUR PEOPLE!!!
0 notes
bizmaxtv · 8 years
Video
#MayaAli, the female lead of #DiyareDil wishes @wardha_saleem all the best for #FPW15 #Urdu1 #showstopper #ZurGul #FashionPakistanWeek #WinterFestive2015 #Day2FirstShow #FashionMeetsEntertainment ™@divamagazinepakistan @mayaaliofficial
0 notes