Tumgik
#Pehlu
aashufta-sar · 10 months
Text
Tumblr media
Waqt ki qaid mein zindagi hai magar, chand ghadiyan yehi hain jo aazad hain
410 notes · View notes
canihaveyouback · 4 months
Text
शायर या शराबी
दिल टूटे आदमी या तो शायर बनते हैं, या शराबी।
5 notes · View notes
blogbyameera · 7 months
Text
I'm not Allama Iqbal but :
Ah, dunya dil samajhti hai jise, woh dil nahin Pehlu-e-insan mein ek hangama-e-khamosh hai
- Ah! What the world considers heart is not heart
in the human breast this is a silent tumult
70 notes · View notes
wela-einstein · 6 months
Text
tum haqeqat nahi ho hasrat ho
jo miley khuwab mein wo doulat ho
mein tumharay hi dam se zinda hun
mar hi jaon jo tumse fursat ho
tum ho khushbo k khuwab ki khushboo
aur utni hi be-murawwat ho
tum ho pehlu mein, per qarar nahii
yani aisa hai jaise furqat ho
tum ho angrai rang o nik'hat ki
kaise angrai se shikayat ho
kiss tarah chor dun tumhein jana
tum meri zindagii ki adat ho
kis liye dekhti ho ayena
tum to khud se bhi khobsurat ho
dastaa'n khatam honay wali hai
tum meri aakhri muhabbat ho
20 notes · View notes
tasavvur-e-jaana · 1 year
Text
Abhi Tak
//
Tumhari nazron ne chhupaaye jo raaz Humne suljhaaye nahi abhi tak.
Tum itne paas toh baithe ho lekin Kareeb aa paaye nahi abhi tak.
Ranj o gham pehlu badalte hain mann mein Zara sa haal e dil zubaan par laa paaye nahi abhi tak.
Kaynaat humare qadamon mein rakhne ki qasamein Khair ek khayal e haqeeqat hi laaye nahi abhi tak.
Umr guzaar li apni asliyat chhupa kar Seene mein jo hai aag e fanaa bujhaa paaye nahi abhi tak.
Laut aao ke ab kuchh bhi bacha nahi wahan Dasht e barbaadi ne kya sazaa dilaayi nahi abhi tak?
Main, sukoon aur inquilab sab theek hain Khud se Ishq aazmaaya kyun nahi abhi tak?
//
29 notes · View notes
iftitah · 7 months
Text
tere pehlu mei rehlun mai khudko pagal kehlun core
9 notes · View notes
whatthehellami · 6 months
Text
Tumblr media Tumblr media
Yuhin pehlu mae baethae raho
9 notes · View notes
pyaariposting · 1 year
Text
jitna dekhun usse utna wo haseen lgta hai,
jo vehem se bhi ho nazuk wo yaqeen lagta hai.
wo chala jaaye jo pehlu se achanak uth kar,
na to saans aati hai na dil mera kahin lgta hai.
13 notes · View notes
ayy-esha · 9 months
Text
Sabar pehlu main rakh kar har hukum pe sar jhuka leti hoon
Ab main muqaddar likhne Wale se khafa nhi hoti.
13 notes · View notes
itslilacsstuff · 2 years
Text
Tumblr media Tumblr media
"Iss karvaan-e-mohabbat ke har ek pehlu mei musalsal teri hi talaash hai
Iss makaan-e-dil ke har ek hisse par sirf or sirf tere kadmo ki aahatein hain
mera dil yun iss kadar muntazir hai ki har shafaq teri yaad mei guzarna bhi ab jaayaz sa hai"
~Rafiya Tasneem
14 notes · View notes
ckardelen · 1 year
Text
Tumblr media
SEVDİĞİM ALTIN KADEHTEN
Sevdiğim, altın kadehten, İçtikçe güzel olursun. Al rengini mah yüzüne, Saçtıkça güzel olursun. Boyun bir servi semendir, Âşığa cevrin yamandır. Sevdiğim, bilmem nedendir, Öptükçe güzel olursun. Padişahsın, bil kendini, Çöz güzel göğsün bendini. Esirge derdimendini, Koçtukça güzel olursun. Padişahsan, hâlime bak, Cümlemizi yaradan Hak. Pehlu olmaya mani yok, Sardıkça güzel olursun. Karac'oğlan der ki: Eller, Açıldı lâleler, güller. Leblerinden akan ballar, Emdikçe güzel olursun. Karacaoğlan
9 notes · View notes
Text
aaj youtube pe ek video dekhi
vo keh rahe the ki mei khush nahi rehna chahti
Ki mere kaandhe pe jo bojh hai vo mei halka kar sakti hun
bas sochna hai ki vo wahan hai hi nahi
aur mei pichle 13 ghante se vohi karne ki koshish kar rahi hun
3 ghante beete tab laga shayad vo sahi hai
phir mujhko bagal ke ghar se kisi ke chillane ki aawaz aayi
uske ek shan baad vo log hasne lage
aur mei wahan tham gayi
thandi mei kisi jammi hui jheel ke jaise
ruk gayi mei samay ke sath kyuki ek aawaz se mujhe yaad aaya mere bachpan ke kuch jhagde
han mere nahi the vo ladne ke leye
par unki cheekh toh abhi bhi zehen mei zinda hai
phir mene socha
mei khud khush nahi rehna chahti ?
aage ke do ghante jab tak mei shant hui
mene ek gaana sun liya
jo mei sunti thi har ek suicidal thought ke baad
aur mujhe yaad aaya ki mei kyu itni shiddat se hamesha ke leye sona chahti hun
phir kya tha
ek ek ghante bhadte gaye aur mei bikharti gayi
ek taraf bootkal ke bhooton se ladti rahi
Unke khauf se jhagadti rahi
Dusri taraf sochti rahi ki kya mei khush nahi rehna chahti?
aur mujhe ab samjh aa raha ki
aasan nahi hai theek hona jab itne saal aapko pata hi na ho ki aap beemar hai
Aasan nahi hai itni jaldi cheezon se ubharke aage bhadna
samjh mei aaya ki khushi koi cheez nahi jo me mere pass rakh saku
Ki khushi ko mei khud mei dhaal nahi sakti jab tak vo khud mere pass na aaye
Ki mujhe bas dhundhna hai chote lamhon mei usko
aur baaki lamhon mei jo mehsoos ho usko mehsoos karna hai bina dare bina soche ki agli cheez kab mehshogi mujhko
bheetar jo shor aur tadap hai jeene ki
us sab ke beech ek shanti hai khushi
nayi kavita likhne ke baad jo ek aas hoti hai
nayi film dekhne baad jab koi naya vichar mere palkon pe aata hai vo
And kai hazar cheezein jo mei shayad har dusre ghante dekhti ya sunti ya mehsoos karti hun vo hai khushi
ya uska hi ek pehlu
aur dono ke hi leye
mujhe jeevit rehna hai.
9 notes · View notes
tasavvur-e-jaana · 1 year
Text
Nagmaa
//
ek koshish geet likhne ki. can be read as stand alone too...
//
mujhe yeh phool na de tujhe jaaneman hai kasam koi khubsurat khata ho jaayegi mujhse o sanam,
main tujhe chaahun toh phir kya khataa usmein? teri raagini jo mujh mein basi hai kabhi ho na khatam.
ye tere surkh labon par jo mera naam yun aaye, kaise kahun main, kya karun jo yeh nashaa chhaye, tera pehlu mere dil ko samete hue hai usi mohabbat ka kaise karein izhaar ab hum?
aankhon se tune bayaan e ishq jo kiya hai, iske aage ab lafzon ke liye bacha kya hai? ab toh shab e vasl le khwaabon mein hi doobi hun main, mere jaanib tujhe mere daaman ki lali ki kasam.
kyun mujhe iss qadr bekaraar karti ho? mere jazbaat ko meri dillagi samajhti ho? mujhe sirf tere badan ki justuju hi nahi, teri rooh e sukhan mein khone ko betaab hai mann.
yeh ishq dillagi nahi ibaadat hai gar kuchh aur main samjhi toh bas qayamat hai, paak tere iraadon ki tauheen humse ho kaise? magar qurbat bhi to ek zariya e ikraar hai balam.
meri vasl mein sajda hi hai aur kuchh bhi nahi, mera dil yahin jhuka hai aur sar bhi yahin, tera badan ek mandir aur mo'min hun main ta'umr teri pooja hi hai mera ab se dharam.
mera yeh phool qubool kar le jaaneman hai kasam, tere naksh e paa par chal pade hain ab mere ye qadam.
18 notes · View notes
imkhaaniii · 2 years
Text
When 𝗥𝗮𝗸𝗶𝗯 𝗠𝘂𝗸𝗵𝘁𝗮𝗿 Said
Dil Mei Wo Tees Uthe Dard Pe Qabu Na Rahe
Pass Kis Kis Ko Bithaya Tera Pehlu Na Rahe
Waqt Ne Cheen Liye Lams Ke Sary Asbab
Chaand Chehre Na Rahe Reshmi Bazu Na Rahe
𝙔𝙖𝙧𝙧𝙧 🥺❤ >>>>
8 notes · View notes
zaallnoon · 2 years
Text
When Rakib Mukhtar Said
Dil Mai Wo Tees Uthy Dard Pe Qabu Na Rahy
Pass Kis Kis Ko Bithaya Tera Pehlu Na Rahy
Waqt Ny Cheen Liye Lams Ky Sary Asbab
Chaand Chehry Na Rahy Reshmi Bazu Na Rahy
Yarrr 🥺❤️ >>>>
8 notes · View notes
sndskar · 2 years
Text
Achchai burai, sahi galat,
ek hi sikke ke do pehlu hi toh hai ...
na jaane kaun sa pehlu tumhari kismat ban jaaye ...
kisko pata
Tumblr media
2 notes · View notes